Allah ﷻ se muhabbat ka bayaan !!

- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -

              اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَته

 


                          ALLAH ﷻ                                                         Se
                         Muhabbat

                       ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

Allah Ta'la zameen o asmaan aur tamam makhlukaat ka khaaliq hai  isi ne apne dono haatho se (jaisa ke uski shaan ke layak hai) Adam alaihissalaam ko mitti se banaya aur unki zauja hawwa alaihissalaam ko paida farmaya  aur fir in dono se insano ki nasle jari farmayin,  ALLAH ﷻ  ne insano aur jaandar makhlukaat  ke liye tarah tarah ke rizk aur naimatein paida ki, aur wo hi mushkil kusha haajat rawa aur fariyaadras hai.



  1. Allah Ta'la zameen o asmaan aur tamam makhlukaat ka khaaliq hai  isi ne apne dono haatho se (jaisa ke uski shaan ke layak hai) Adam alaihissalaam ko mitti se banaya aur unki zauja hawwa alaihissalaam ko paida farmaya 

Irshaad e bari ta'la hai :- aur agar tum ALLAH ﷻ  ki  naimaton ko shumaar karna chaho to nahi Kar sakte.

Surah nahal ayat no 18.

Beshumaar fazl o Karam wale rab se muhabbat har muslamaan par farz hai.

Aur irshaad e bari ta'la hai :- aur ahle imaan sab se zyaada ALLAH ﷻ se muhabbat karte Hain.

Surah baqara ayat no 165.

Nabi e rehmat ﷺ ne farmaya :- ALLAH ﷻ tumhe Jo naimate khilaata hai un ki wajaah se  ALLAH ﷻ se muhabbat karo  aur  ALLAH ﷻ ki muhababat ki wajaah se mujhse muhabbat karo aur Meri muhabbat ki wajaah se mere ahle bait se muhabbat karo.

Sunan tirmizi 3789 classed Hasan authenticate by shaikh zubair Ali zai rh.

           Allah Ta'la farmata hai :- aur Allah ka shukr ada karte raho agar tum sirf uski hi ibaadat karte ho

Surah baqara ayat  172.

(Kamil imaan wale) momin woh Hain jab unke samne ALLAH ﷻ ka zikr hota hai to unke dil (khauf wa ummeed ) KE saath laraz jate Hain

Dekhiye surah anfaal ayat 2.

Nabi e kareem ﷺ ka irshaad e mubaarak hai ke :- jis haqs me 3 cheezein hon to usne imaan ki mithaas pa li:-

1) Unme se 1 Ye hai ke uske nazdeek  ALLAH ﷻ aur uske rasool ﷺ har chiz se badh kar mahboob hon.

2) wo jis se muhabbat Kare Allah ke liye hi  muhabbat kare

3) Wo kufr me laut Jana is tarah napasand Jane jaise wo aag me girna napasand karta hai

Saheh bukhari :- 16 saheh Muslim :- 43

Ek maa (mother) jitna apne bachhe se muhabbat karti hai ALLAH ﷻ usse Kai Guna zyaada Apne Bando se muhabbat karta hai.

Saheh bukhari 5999 saheh muslim 2754.

Irshad e Bari tal'a hai :-
                                        Jo log meri wajaah  se ek dusre se muhabbat karte hain unke liye meri muhabbat waajib hai.

Musnad Ahmad zawaid Abdullah bin Ahmad 5,328 sanad saheh.

 Allah ﷻ se muhabbat ka ye laazmi taqaaza hai ke Insan har waqt Allah par tawaqqal kare, aur us par hi Sabir o Shakir rahe, ek dafa ek araabi (baddu)ne Rasool Allah ﷺ  par talwaar taan kar  poocha:- tujhe mujhse kon bachayega ?
Ap ﷺ ne (Kamaal itminaan) se Farmaya :- allah.

To us araabi ke haath se talwaar Gir gayi.

Musnad Ahmad 3, 390,15190 wa sanad saheh, saheh ibne hibban 2872{2883}.

Allah ke habeeb Muhammad Rasool Allah ﷺ  Apne rab se itni muhabbat karte the ke  wafaat ke waqt bhi farma rahe the :- اللهم الرفيق الأعلٰى.

Tarjume aye Allah apni baargaah me aala rifaaqat ATA farma.

Saheh Bukhari 4423, saheh muslim 2444.

                          ALLAH ﷻ

     Se muhabbat ki Chand nishaniyan darj e zail hain :-

1) Tauheed o sunnat se muhabbat shirk o biddat se nafrat.

2) nabi Kareem ﷺ   se walhana (beshumar apni jaan se bhi zada) muhabbat aur difa.

3) sahaba e kiraam tab'een e azaam, ulama e haq, aur ahle  Haq se muhabbat.

4) kitaab o sunnat se muhabbat aur taqwa ka raasta.

5) gunaaho aur nafarmaani se ijtinaab.

6) Riya ke bagair, khuloose niyat ke saath ibaadat me sunnat Ko madde Nazar rakhte hue inhimaak.

7) ma'roof (neki) se muhabbat aur munkar wa Makrooh se nafrat.

8) Kitab o sunnat ke ilm ka husool aur kitaab o sunnat ke ilm  ke muqable me har qaul o fail Ko radd kar Dena.

9) infaaq fi sabillillah  ALLAH ﷻ ke  raste me razamandike liye maal kharcha karna.

10) Khauf o ummeed ki halat me kasrat e azkaar aur da'wate saabita par amal.

Allah ﷻ se dua hai ke wo hamare Dil Apne aur Apne Rasool ﷺ  ki muhabbat se bhar de aur hame hamesha kitaab o sunnat par gaamzan(kayam) rakhe

 ameen ya rabbul alameen.

Post a Comment

0 Comments