Nabi e Rehmat ﷺ se muhabbat ka bayaan

------------------------------------------------------------------------------------

                        اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه

                    NABI ﷺ SE MOHABBAT KA BAYAAN !!

                        ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ


Sayyadna Abu hurairah r.a se riwaayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya :- us zaat ki Kasam jis ke haath me meri Jaan  hai tum me se koi (Shaqs)us waqt tak(poora) mo'min nahi ho Sakta  jab tak wo Apne waalid(walida) aulaad tamaam insano se zyaada mujhse muhabbat na kare.

Saheh Bukhari 14,15.

Sayyadna anas bin maalik r.a se riwaayat hai :- 1 aadmi ne nabi e Rehmat ﷺ se poocha ke qayaamat kab ayegi ?
Ap ﷺ  ne farmaya tu ne uske(qayaamat)ke liye kya tayyari ki hai?
Un (sahaabi) ne kaha kuch khaas nahi, illa ye ke me Allah aur uske Rasool ﷺ se muhabbat karta Hun, to ap ﷺ farmaya: tu jisse muhabbat karta hai uske saath hi hoga.

Anas r.a ne farmaya :- ke ham nabi ﷺ ke is qaul  (tu jisse muhabbat karta hai qayaamat ke din uske saath hi hoga)  se zyaada aur kisi baat se khush nahi hue,
Sayyadna anas r.a ne farmaya me nabi e Rehmat ﷺ se, sayyadna Abu Bakr o Umar r.a se muhabbat karta Hun aur mujhe ummeed hai ke is muhabbat ki wajaah se me unke saath ho hunga agarche Maine in jaise amaal nahi kiye.

Saheh bukhari 3688, Sahih muslim 2639.


Nabi e rehmat ﷺ ne farmaya :-  ALLAH ﷻ tumhe Jo naimate khilaata hai un ki wajaah se  ALLAH ﷻ  se muhabbat karo  aur ALLAH ﷻ ki muhababat ki wajaah se mujhse muhabbat karo aur Meri muhabbat ki wajaah se mere ahle bait se muhabbat karo.

Sunan tirmizi 3789 classed Hasan authenticate by shaikh zubair Ali zai rh.

Nabi e kareem ﷺ ka irshaad e mubaarak hai ke :-.     jis shaqs me 3 cheezein hon to usne imaan ki mithaas pa li:-

1)  Ye ke uske nazdeek har cheez se badh kar ALLAH ﷻ aur uske rasool ﷺ mahboob hon.

2) wo jis se muhabbat Kare Allah ke liye hi  muhabbat karey.

3) Wo kufr me laut Jana is tarah napasand Jane jaise wo aag me girna napasand karta hai.

Saheh bukhari :- 16 saheh Muslim :- 43.


Khulasa :- Nabi e rehmat ﷺ  se muhabbat juz wo Imaan Hai.

Aye ALLAH ﷻ Hamare dilo ko Qur'an majeed, hadees e Rasool ﷺ,sahaaba e kiraam r.a, tabayeen, taba tabayeen, muhaddiseen, aimma tul Muslimeen, salaf swaliheen rh aur tamaam ahle Imaan ki muhabbat se bhar de  ameen ya rabul alameen.

Post a Comment

2 Comments