APNE SE KAM NE'MAT WALO KO DEKHO !!



 اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه

APNE SE KAM NE'MAT WALO Ki DEKHO !!

 ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

Sayyadna Abu hurerah r.a se riwaayat hai ke nabi ﷺ ne farmaya :- us shakhs ki taraf dekho jo tum se neeche ho, aur us shakhs ki taraf na dekho jo tum se upar ho ya zyaada layak hai ke tum allah ﷻ ki is ne'mat ko hakeer na  jano jo tum par hai.

Saheh Bukhari,6940,saheh muslim,4718.


Fawaaid :-

1:-agar koi shakhs in hi logo ki taraf dekhe jinhe duniya ki ne'matein us se zyaada di gayin hain to khatra hai ke us ke Dil me Khaliq ka shikwa paida ho jaye ya us shakhs par hasad paida ho jaye aur ye dono chrezein is ki barbaadi ka baais hai, hadees me is ka ilaaj bataya Gaya hai, jab wo in logo Ko dekhega jo duniya me is se bhi neeche hain. Is ka Dil Khaliq ka shukr, apni halat par sabr wa qana'at aur dusre bhaiyo par Reham se bhar jayega aur wo allah ﷻ ki rehmaton Ko hakeer nahi janega.

2:- Apne se neeche se muraad wo hain jo duniya I ne'maton me is se Kamtar hain agar tandrust hain to beemari me mubtila logo Ko dekho is se Ise allah ﷻ ki  ata karda sehat par shukr ki ne'mat hasil hogi agar beemar hai us se bhi zyaada beemar Ko dekhe balki  un ke azaa hi nahin hain wo andhe, behre,goonge,langde, ya loole hain is se Ise apni afiyat ki kadar maloom hogi agar tangdast hai  to unhe dekhe jo us se bhi badhnkar fakeer hain jinhe mohtaji ne Saraswat zaleel kar diya hai ya wo qarz ke khaufnaak bojh ke neeche Dabe hue hain, gharz duniya ki kisi azmaish me mubtila ho, Ise Apne se badh kar musibat me mubtila log hazaaron ki tadaad me mil jayenge us ke haal par ghaur karega to use shukr,sabr aur qana'at ki ne'mat hasil hogi.

3:- Deen ke muaamlat me hamesha un logo Ko dekho jo us se upar hai Irshad e Bari tal'a hai :-

Aur isi (Jannat) me hi 1 dusre se badh kar raghbat karein wo log woh log jo 1 dusre ke muqable me raghbat karte hain,

وَفِي ذَٰلِكَ فَلْيَتَنَافَسِ الْمُتَنَافِسُونَ

Surah Al mutaffifeen :- 26.

Aur farmaya :- pas nekiyon me 1 dusre se age badho,

فَاسْتَبِقُوا الْخَيْرَاتِ

Surah maida:- 48.

jab nem'ato  me Apne se Kamtar logo Ko Ya nekiyo me Apne se baalatar logo Ko dekhega to pehli Nazar se allah ﷻ ki nem'ato par shukr karega Allah par khush ho jayega, aur dusri Nazar se Ise apni kotahiyon ka ahsaas ho jayega parwardigaar ke samne hayaa li wajah se intihaai ajz ikhtiyaar karega aur nadaamat ke ahsaas se gunaaho se taib ho kar Apne se baalatar logo ki saff me  shamil hone ki koshish karega.



Wallahu Alam...........



Danish Ansari

Post a Comment

0 Comments