Khulafa e rashideen se muhabbat ka bayaan !!



اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه

Khulafa e rashideen se muhabbat !!


 ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ


Mashoor Sahabi Sayyadna Abu Abdurrahman safeena r.a, maula rasoolallah se riwaayat hai ki rasoolallah ﷺ  ne Farmaya :-
                             
خِلَافَةُ النُّبُوَّةِ ثَلَاثُونَ سَنَةً، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ يُؤْتِي اللَّهُ الْمُلْكَ أَوْ مُلْكَهُ مَنْ يَشَاءُ,


Roman:-
                Khilafat e nabuwwat (nabuwwat ki tarz par khilafat) 30 saal rahegi, phir ﷻ آللہ  jise chahega apna mulk ATA farmayega.

Sunan Abu Dawood 4646. Is hadees Ko tirmizi ne Hasan, ibne hibban ne Hasan aur Ahmad bin hambal (as sunnah ibne khallal ne saheh kaha hai. Shaikh zubair Ali zai Rh ne ise Hasan karaar diya Allama albani Rh ne ise saheh karaar diya.

Is hadees ke Ravi Sayyadna safeena r.a ne Apne shaagird Ko khulafa e rashideen ki ta'daad  gin kar samjhai:-

1:- Sayyadna Abu Bakr Siddiqui r.a ke 2 saal.

2:- Sayyadna Umar bin khattab r.a ke 10 saal.

3:- Sayyadna usmaan bin Affan r.a ke 12 saal.

Sayyadna Ali Al Murtaza ke 6 saal.

Imaam Ahmad bin hambal Rh farmate hain:-
           Khilafat ke muaamle me Sayyadna safeena r.a (ki bayan karda) hadees saheh hai.

Aur me khulafa (e rashideen ki ta'daad ) ke bare me iska qael hun.

Jam'e UL bayan al ilm fazla 2/225al hadees 8 safa 12.

Sayyadna Arbaaz bin Sariya r.a se riwaayat hai ke :-

صَلَّى بِنَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ذَاتَ يَوْمٍ ثُمَّ أَقْبَلَ عَلَيْنَا فَوَعَظَنَا مَوْعِظَةً بَلِيغَةً ذَرَفَتْ مِنْهَا الْعُيُونُ وَوَجِلَتْ مِنْهَا الْقُلُوبُ، ‏‏‏‏‏‏فَقَالَ قَائِلٌ:‏‏‏‏ يَا رَسُولَ اللَّهِ كَأَنَّ هَذِهِ مَوْعِظَةُ مُوَدِّعٍ، ‏‏‏‏‏‏فَمَاذَا تَعْهَدُ إِلَيْنَا ؟ فَقَالَ:‏‏‏‏ أُوصِيكُمْ بِتَقْوَى اللَّهِ وَالسَّمْعِ وَالطَّاعَةِ، ‏‏‏‏‏‏وَإِنْ عَبْدًا حَبَشِيًّا فَإِنَّهُ مَنْ يَعِشْ مِنْكُمْ بَعْدِي فَسَيَرَى اخْتِلَافًا كَثِيرًا، ‏‏‏‏‏‏فَعَلَيْكُمْ بِسُنَّتِي وَسُنَّةِ الْخُلَفَاءِ الْمَهْدِيِّينَ الرَّاشِدِينَ تَمَسَّكُوا بِهَا وَعَضُّوا عَلَيْهَا بِالنَّوَاجِذِ، ‏‏‏‏‏‏وَإِيَّاكُمْ وَمُحْدَثَاتِ الْأُمُورِ فَإِنَّ كُلَّ مُحْدَثَةٍ بِدْعَةٌ وَكُلَّ بِدْعَةٍ ضَلَالَةٌ  .

Roman :-
                 1 din rasoolallah ﷺ ne hame namaaz padhayi fir hamari taraf Rukh karke intihai faseeh, wa baleegh  wa'az farmaya, jis se (hamare ) Dil dehal Gaye aur ankhon se ansuu jari ho Gaye kisi ne kaha ya rasoolallah ﷺ  (hame Aisa Laga) ye al vidaa kehne wale ka wa'az hai ap hame kya hukm Irshad farmate hain? Ap ﷺ ne Farmaya me tumhe ﷻ آللہ se darne ki waseeat karta Hun  aur agar (koi)habshi bhi tumhara Ameer ban jaye to (us ka hukm) Sunna aur ita'at karna, kyunki mere Baad jo Shaqs Zinda Raha bohut ikhtilaaf dekhega - pas meri sunnat aur mere khulafa e rashideen al mahdiheen ki sunnat Ko mazbooti se, daanto ke saath pakad Lena  aur muhadsaat se bachna (kyunki) Deen me har  muhadas (Naya kaam) biddat hai aur har biddat gumraahi hai.

Sunan Abu Dawood 4607.

Is hadees Ko imaam tirmizi ibne hibban imaam haakim aur imam zehbi Rh ne saheh kaha hai.

Is Saheh hadees me Jin khulafa e rashideen ki sunnat Ko mazbooti ke saath pakande Ka hukm diya Gaya hai in se Sayyadna Abu Bakr Siddiqui r.a, Sayyadna Umar bin khattab r.a  Sayyadna usmaan r.a aur sayyyadna Ali Al Murtaza r.a  muraad hain.

In me se pehle do nabi ﷺ ke sasur aur (Baad wale) 2 nabi ﷺ ke damaad hain, pehle 2 khulafa e rashideen me  Sayyadna Abu Bakr Siddiqui r.a sabiqul Imaan aur Afzal ba'ad az rasoolallah ﷺ  ala attalaaq hain,
Fir Umar Farooq r.a ka number hai,
 dusre dono khulafa e rashideen me Sayyadna usmaan r.a ap ﷺ ki 2 betiyon ke shauhar hain,
Aur Sayyadna Ali r.a sayyada Fatima r.a ke shauhar hain.

Abul Hasan al ashri farmate hai:-aur hamara ye mazhab hai ke aimma e arba (Abu Bakr o Umar usmaan o Ali) khulafa e rashideen al mahdiheen hain, ye sab (dusro se) Afzal the, dusra koi ummati fazilat inke Barabar nahi !

Al abant an usool aldiyana safa 20 fiqra 29 dusra nuskha safa 11.

Imaam Abu Jafar at tahaavi ki taraf mansoob kitaab aqeeda tahaviya me bhi inhi Ko khulafa e rashideen qaraar diya Gaya hai dekhiye sharah aqeeda tahaviya tehkeek Shaikh albani rh. Safa 533 se 548.

Har musalman par farz hai ke wo in khulafa e rashideen, aur Sahaba e kiraam se muhabbat kare.

Wallahu A'alam.

Wama Alaina illal balaagh.


Allah ﷻ   se dua hai ke har musalman ke Dil me khulafa e rashideen ki muhabbat paida kar de ameen.



         Wassalam

Post a Comment

3 Comments