Sahaaba e kiraam ke mutallik saheh aqeeda !!

اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه


sahaba kiram radhiallaho ajmaeen ke bare me saheh aqeeda !!


Qur'an me allah tal'a ne musalmaano ke bare me bataya hai ke un ke 3 darje hai:-


1) sabikon aur awwaloon aur unke muttabaeen.

Allah tal'a sabikon aur awwaloon aur muttabeen ke bare me Qur'an me farmata hai ke wo ansaar aur muhajireen jinhone imaan lane me sabkat hasil ki aur wo log jo inke pairokaar hue (yani inhi ke nakshe kadam par chale inke muttabeen rahe) allah unse razi Hua aur wo allah se razi hue.

(surah tauba ayat no. 100).


2) munafikeen jinke dilon me nafak hai.

Yeh wo log hai jo imaan laye magar sirf dikhavey ke liye, inke dill andar se nifaak(munfikat) se bhare hue hain aur wo pakke munaafik hai, halanke wo dikhawa karte hain ke wo musalmaan hai magar andar se nahi hai, allah tal'a nabi sallalahu alaihi wasallam se farmata hai ke aye Mohammed(ﷺ) aapko inka ilm nahi  ke kon munafik hai iska ilm allah ko hai.

(surah tauba ayat no. 101).


3)mile jule amaal wale musalmaan.

Yani wo log jo ke apne jurm ka aitraf karte hain wo musalmaan hai par unke dilo me imaan abhi puri tarah nhi utraa hai, unke amaal mile jule hue hain allah se umeed hai ke wo inki tauba kabool farmayega aur bila shuba allah tal'a badi maghfirat aur rehmat wala hai.

(surah tauba ayat no. 102).


Qur'an ki in ayato se hame pata chalta hai ke nabi sallalahu alaihi wasallam ke jo sahaba they unme bhi kuch nek log the aur kuch mile jule huve amaal wale aur kuch pakke munafik the, ab is bare me mazeed khulasey ke liye hum rukh karte hai saheh ahadees ki taraf.



sahabi unhe kehte hai jinhone ne nabi sallalahu alaihi wasallam ko dekha aur unpar imaan laye aur wafat tak imaan par datey rahe,

jinhone nabi sallalahu alaihi wasallam ko dekha phir imaan laye lekin phir aapki wafaat ke baad deen se ulte kadam phir gaye aisa shaks bazahir to sahabi hai, jab tak nabi sallalahu alaihi wasallam hum me maujood the allah unhe bata deta tha ke kon shaks imaan wala hai ya kon munafik ab jabke nabi sallalahu alaihi wasallam is duniya se jaa chuke to hum is bare me yakeeni taur par nhi keh sakte ke kon hakeeki sahabi hai aur kon kanooni sahabi is baat ke sabot me kuch ahadees hai jinko dekha jaye.


note :- nabi sallalahu alaihi wasallam ke alawa kisi bhi shaqs ke liye ye dawa nhi kiya jaa sakta ke wo gunaho se paak hai, ambiya ko allah ki taeed hoti hai jisse ke wo gunaho se mehfoz rehte hai lekin koi aam insan is chiz se paak nahi chahe wo koi sahabi hi kyu na ho !



kisi ghazwey se wapsi par ansaar aur muhajreen ka kisi choti se baat par jhagda ho Gaya to wo log ek dusre ko awaze lagane lage ke ansaar aao aur usi tarah muhajreen bhi apne kabile walo ko awaze lagane lage jab ye awazey nabi sallalahu alaihi wasallam ne suni to kaha ke kyu ye jahilyat ke Zamane ki awaze kar rahe ho ye sab zamane jahilyat me log kiya karte the, yeh baat jab abdullah bin abi ne suni to kaha ke jab izzat wale madina me dakhil honge to waha se zaleelo ko( nabi sallalahu alaihi wasallam aur unke sathio) ko nikaal Bahar karenge, ( nauzubillahi min zaalik),

Jab zaid bin arkam ne ye baat suni to Nabi sallalahu alaihi wasallam ko jakar shikayat ki to abdullah bin abi ne kasam khaa kar kaha ke usne ye baat nahi kahi to Nabi sallalahu alaihi wasallam ne uski baat ko maan liya aur zaid bin arkam ki baat par yakeen nhi kiya, to wohi baat jo zaid bin arkam ne kahi thi uski taeed me allah tala ne quran ki ayat nazil kar di :-

ye kehte hai ke ab agar ab hum laut kar madina jayenge to izzat wala waha se zillat wale ko nikal dega sunlo ke izzat to sirf allah tala aur uske rasul imaan daro ke liye hai lekin ye munafik nhi jante.

(surah al munafikon ayat. 8).

Jab hak baat wazeh ho gayi to hazrat umar radhiallaho anhu khade hue aur kaha ke allah ke rasul sallalahu alaihi wasallam aap ijazat dijiye is munafik ki gardan uda du to Nabi sallalahu alaihi wasallam ne kaha ke aye amar usey chor do agar tumne uski gardan maar di to log kahenge ke Mohammed apne sahabi ka katal karwata hai.

(sahi bukhari 4905, 4906 , sahi muslim 6583).


note :- yaha nabi sallalahu alaihi wasallam ne us munafik ko bhi sahabi kaha, lekin yaha yeh baat implied hai ke wo kanooni sahabi tha hakeeki sahabi nhi.


jange hunain se wapasi par nabi sallalahu alaihi wasallam maal takseem kar rhe the to abdullah bin al khuwesarah at tameemi  ne kaha ke aye Mohammed (sallalahu alaihi wasallam) insaaf kijiye to is par nabi sallalahu alaihi wasallam ne farmaya ke tere liye wail (jahanum ki ek wadi) ho tere liye halakat ho agar me insaaf nahi karungaga to aur kon karega, is baat par hazrat umar ne apni talwar nikal li aur kaha ke ya rasulallah hukum dijiye is munafik ki gardan kaat deta hu to Nabi sallalahu alaihi wasallam ne kaha ke umar jane do warna log kahenge ke Mohammed (sallalahu alaihi wasallam) apne sahaba ko katal karwata hai, aur saath hi farmaya ke ye wo shaks hai jo baad me khawarij hoga aur phir isi tarah tafseel farmayi  ke yeh log us waqt paida honge jab musalmaano me phut pad jayegi, yeh log islam se aise nikal jayege jaise teer shikar se aage nikal jata hai, rawi kehte hai ke baad me hazrat ali ne khawarij ke sath kital kiya aur jo jo nishanjya nabi sallalahu alaihi wasallam ne hame batayi thi wo sab in me hum ne payi. 
(sahi bukhari 6933, sahi muslim 2449).


ye to wo munafikeen the jinki munafikat logo par zahir ho gayi, ab aage un munafikeen ka zikr hai jinke bare me khud musalmaano ko bhi nhi pata tha ke wo munafik hai magar baad me unki kartoot ki wajah se unhe is baat ka ilm hua, lekin yaha bhi aapne us munafik ko bazahir sahabi tasleem kiya lekin yaha bhi implied hai ke sahabi se murad yaha bhi kanooni sahabi hai hakeeki sahabi nhi !


abu tufail radhiallaho anhu se marvi hai ke nabi sallalahu alaihi wasallam tabook se wapasi hue to aap sallalahu alaihi wasallam ne ailaan karne wale ko hukum diya aur us ne ailaan kiya ke nabi sallalahu alaihi wasallam pahad ka upar wala rasta akhtiyar karenge lihaza koi dusra admi who rasta akhtiyar na kare, nabi sallallaahu alaihi wasallam ki ontni ki nakeel  hazrat huzaifa bin yaman sambhale Hue aage chal rahe the aur hazrat ammar bin yasir aapke peeche chal rahe the, itne me kuch chupaye kuch log achanak agaye wo log nabi sallalahu alaihi wasallam ki ontni ko haank rahe the (unka irada tha ke nabi sallalahu alaihi wasallam ko tabook ki ghaati se neeche gira den) par hazrat ammar aur hazrat huzaifa radhiallaho anhu ne badi jaa nisari se aap ki hifazat ki aur wo log bhaag gaye, to Nabi sallalahu alaihi wasallam ontni se neeche utre aur hazrat ammar radhiallaho anhu se pocha ke kya tumne hamla awaro ko pehchana? To hazrat ammar ne kaha ke me aksar onto ko pehchan chuka hu par hamla awaro chehre dhakey hue the to me unhe nhi pehchaan paya, phir nabi sallalahu alaihi wasallam ne hazrat huzaifa bin yaman se kaha ke me unme se 12 ko pehchan gaya hun phir aapne huzaifa radhiallaho anhu ko un munafikeen ke naam bataye aur unhe raaz rakhne ko kaha.

(saheh bukhari 3742,  saheh muslim 7035, dalail ul nabuwa behaqi page no. 261,262,  musnad ahmad 18885,23319).



momin to wo hai jo ke allah aur uske rasul par pakka imaan laye phir wo shakk o shuba na karen, aur apne maal se aur apni jaano se allah ki raah me jihad karte rahe,(apne dawa e imaan me) yehi log sacche aur raast go(imaan wale) hain.

(surah al hujrat ayat no. 15).


yaha Allah tal'a ne momineen ki sifat bayan ki ke allah ke nazdeek kon imaan wale hai.



ye baddu(dihati) kehte hai ke hum imaan le aye, aap inse keh dijiye ke dar hakikat tum imaan nhi laye lekin tum yu kaho ke tum islam laye(mukhalifat chor kar mutee ho gaye) halanke abhi tak tumhare dilon me imaan dakhil hi nahi hua tum agar allah ki aur uske rasul ki farma bardari karne lago ge to allah tumhare amaal me se kuch bhi kam na karega, beshak allah bakshne wala meharbaan hai.

( surah al hujrat ayat no. 14).



Qur'an ki in ayato me un logo ka zikr hai jinke bare me surah tauba me aya hai ke unke mile jule amaal hain, acche kaam bhi karte hai aur bure kaam bhi.



khaibar ke baad nabi sallalahu alaihi wasallam wadiye alqura ke liye nikle aur waha pohanche to naa malum ek teer nabi sallalahu alaihi wasallam ke ghulam jiska naam mid'am tha usko akar lag gaya  aur wo mar gaya, to sahaba ne kaha ke isko shahadat Mubarak ho ye shaheed hai, to Nabi sallalahu alaihi wasallam ne farmaya ke hargiz nhi, us zaat ki kasam jiske hath me meri jaan hai, is ghulam ne khaibar ke mauke par ek kambal maal e ghanimat se churaya tha wo is par aag ka angara ban kar bhadak rha hai, jab logon ne ye baat suni to jisne jo kuch bhi maale ghanimat se mamoli samaj kar uthaya tha wo nabi sallalahu alaihi wasallam ki khidmat me hazir kar diya.

(sahi bukhari 4234, 6707,  sahi muslim 309,310).


ab yaha baat gaur karne wali hai ke nabi sallalahu alaihi wasallam ne us ghulam ke bare me bataya ke ye jahanum me hai is se baat pata chalti hai ke sirf sahabi hona hi jannat me jane ke liye kaafi nahi, sabik kadam rehte hue imaan par jo mara uske liye hi nijaat hai !


kalsoom tabae rahimahullah ka bayan hai ke hum wasit (jo iraq ka ek shehar hai) mein abdul al alaa tabae ke pass baithe the ke achanak wahan ek shaqs ko dekha jin ka naam tha abu al ghadiya, unhone paani manga to ek chandi ke naksh nigar wale bartan me unke liye pani laya gaya magar unhone peene se inkar kar diya aur phir rasul allah sallalahu alaihi wasallam ka zikr karte huvey (badi hasrat ke sath) bayan farmaya ke aap sallalahu alaihi wasallam ne am hai chunke unka deen isne chor diya is liye unhone is ki kabar khod di aur laash ko bahar nikal kar phenk diya, phir unhone kabar khodi aur jitni gehri unke bas me thi karke usme daal diya lekin subah hui to laash phir bahar thi, ab unhe yakeen aya ke yeh kaam kisi insan ka nhi hai (balke mayyat allah ke azaab me giraftar hai) chunancha unhone us shakhs ko yuhi zameen par daal diya.

(sahi bukhari 3617, sahi muslim 7040).


abu bakar radhiallaho anhu ke zamane me kuch kabail murtad ho gaye to hazrat abu bakar ne un se kitaal karne ka iradah kiya toh hazrat umar ne unse kaha ke aap un se kaise jang kar sakte hai jabke inhone allah tal'a ka inkar nhi kiya aur nabi sallalahu alaihi wasallam ne bhi yehi kaha tha ke jisne kalme ka iqrar kiya usne mujhse apni jaan bacha li, to abu bakar radhiallaho anhu ne kaha ke allah ki kasam zakat maal me allah ka hissa hai phir jo koi bhi namaz aur zakat me fark karega me us se jang karunga, phir hazrat umar radiallahu anhu ne kaha ke abu bakar radhiallaho anhu ka seena allah ne khol diya hai aur yahi haq hai ke unse qitaal kiya jaye.

(sahi bukhari 1399,1400).


ye wohi log the jo aapke sahabi the aapki wafaat ke baad deen se ulte kadam phir gaye aur zakat ke munkir ho gaye.



abu huraira radhiallaho anhu bayan karte hai ke jab surah nasr nazil hui

اِذَا  جَآءَ  نَصۡرُ اللّٰہِ  وَ  الۡفَتۡحُ ۙ﴿۱﴾

وَ رَاَیۡتَ النَّاسَ یَدۡخُلُوۡنَ فِیۡ دِیۡنِ اللّٰہِ اَفۡوَاجًا ۙ﴿۲﴾

 jab allah ki madad aur fateh ajayegi

 aur aap logo ko fauj dar fauj islam me dakhil hote hue dekhoge,

to allah ke rasul sallalahu alaihi wasallam ne farmaya wo log zarur (islaam) se aise hi fauj dar fauj nikal jayege jaise isme dakhil hue.

(mustadrak hakim 8518, sunan darmi 91, surah al nasr ayat no1, 2).



nabi sallalahu alaihi wasallam ne farmaya ke qayamat ke din mere sahaba ko hauze kausar pe laya jayega, aur me kahunga ke aye mere rabb yeh mere sahaba hain, me unhe hauze kausar se jab mashroob pilane lagunga to unke aur mere darmiyan diwar khadi kar di jayegi, aur mujhe bataya jayega ke aapko nahi pata ye wo log hai jinhone aapki wafaat ke baad deen me bid'aten jari kar di thi, phir me kahoga ke In par phitkaar ho inko mujhse dur kar do jinhone mere baad deen ko badal diya, phir me bhi wohi kahoga jo abd saleh isaa alaihissalam kahenge, aye allah jab tak me inme maujood tha in par gawah tha jab tune mujhe utha liya phir tu hi inpar gawah tha, tu har chiz par nigah baan hai, tabae kahte hai ke in se murad wo log hai jo abu bakar radhiallaho anhu ke zamane me murtad ho gaye the.

(sahi bukhari  7050,3447,4625,6576, sahi muslim 5978,7201).


ye hadees taweel e khas ke aitebaar se sahaba ke liye hai par taweel aam  ke liye har us shaks ke liye hai jo ke deen me bidat jaari karta hai !


 abu huraira radhiallaho anhu bayan karte hai ke ek habshi aurat masjid e nabvi me jhadu diya karti thi, ek din uska inteqal ho gaya to humne usko dafan kar diya, jab nabi sallalahu alaihi wasallam ne use masjid me nhi paya to sahaba se uske mutalik pucha to unhone bataya ke wo faut ho gyi aur humne use dafna diya, to Nabi sallalahu alaihi wasallam ne kaha ke tumne mujhe iski khabar kyu nhi di, ab chalo mujhe uski kabar par le chalo, waha jaa kar nabi sallalahu alaihi wasallam ne uski kabar par namaz e janaza padhi aur farmaya ke mere namaz padhne aur dua maghfirat karne ki barkat se pehly yeh kabren tariki me thi ab ye noor se munawwar ho gayi hain .

Note ;- wo jo kabr thi wo yahood o nasaara ki nahi musalmano kinhi thi.

(sahi bukhari 458, sahi muslim 2215).



abu saeed khudri radhiallaho anhu bayan karte hai ke Khalid bin waleed ne abdurehman bin auf ko jhagde ke dauran gaali de di to rasul allah sallalahu alaihi wasallam ne khalid bin waleed radhiallaho anhu se farmaya ke tum mere sahaba ko bura mat kaho, agar ab tum (baad me islaam lane walo) me se koi shakhs uhad pahad ke barabar bhi sona kharch kar dale to bhi wo un (pehly musalmaano) me se kisi ek ke mud (takreeban 600 gram) kharch karne ko nhi pohanch sakta na hi uske aadhey ko.

(sahi bukhari 3673, sahi muslim 6488).


yahan nabi sallalahu alaihi wasallam ne Khalid bin waleed se kaha ke mere sahaba ke darje ko nhi pohanch sakte to kya Khalid bin waleed sahaba nahi the, jawab hai ke Khalid bin waleed sahabi the par unhone islam baad me kabol kiya jabke abdurehman bin auf badri sahabi hain in dono ke darje ek nahi ho sakte.


in sari ahadiso se yehi pata chalta hai ke sahaba me bhi kuch aise log the jo ke bazahir imaan wale the andar se unke dill me imaan nahi tha, isliye hamara ye aqeedah hai ke hum allah se umeed karte hai ke insha allah sare sahaba jannati hai, lekin yakeen se sirf un sahaba ko jannati kehte hai jinko khud nabi sallalahu alaihi wasallam ne jannati kaha jisme ke ashra mubashra, badri sahabi sulah hudaibiya wale sahabi ansaar aur muhajreen hain.



aakhir me nabi sallalahu alaihi wasallam ki naseehat pesh e nazar hai


arbaaz bin sariya radhiallaho anhu bayan karte hai ke nabi sallalahu alaihi wasallam ne hame aisi nasihat farmayi jis se hamari aankhen dubduba gayi aur dil laraz gaye, hum ne kaha : allah ke rasool ye to rukhsat  wali nasihat malum hoti hai, to aap hame kya nasihat karte hain?  To aap sallalahu alaihi wasallam ne farmaya ke mene tumko ek aise saaf aur roshan raste par chora hai jiski raat bhi din ki tarah roshan hai, is raste se sirf mere baad halak hone wala hi inheraaf karega (muh modega), tum me se jo shakhs mere baad zinda rahega wo boht saare ikhtilaf dekhega, us waqt deen me fitne aur nayi nayi bidat jari hongi tum un se bachna, aur us waqt mere aur mere hidayat yafta khulfa e rashideen ki sunnat par kayam aur jamey rehna aur meri is nasihat ko apne daaton ke zariye mazbooti se daba lo aur is par amal paira rehna.

(jame tirmizi 2676,  abu dawood 4607,  ibne maja 43).



allah tala se dua hai allah hame jahanum ke azab se bachaye, deen me naye kaam karne yani bid'at karne se bachaye aur imaan o aafiyat se hame is duniya se rukhsat kare.

             ameen

Post a Comment

0 Comments