Assalamualaikum wa Rahmatullah WA barkathu



Bismillah hirrahman nirraheem


Sawal:- hamne kai waizeen (khateeb) se suna hai ke ramzaan ke 3 ashro ke mutallik ke, pehla ashra Rehmat ka, dusra ashra maghfirat, teesra ashra jahannam se azadi ka, kya ye baat kisi hadees me ayi hai rehnumai karein.

Al jawab:- Ramzaan ke 3 ashro ke mutallik ye hadees imam Ibn khuzaima rh ne apni kitab me zikr ki hai jis ki sanad ye hai :-

ثنا علي بن حجر السعدي، ثنا يوسف بن زياد، ثنا همام بن يحيى، عن علي بن زيد بن جدعان، عن سعيد بن المسيب، عن سلمان 


Nabi ﷺ ne hame shabaan ke aakhri din khutba irshad farmaya, jis me yeh farmaya, 'Logo tum par azmat aur barkat wala maheena nazdeek aa raha hai, aisa maheena jis me ek raat aisi hai jo hazaar maheeno se behtar hai, is ke roze Allah taala ne farz karaar diye hai aur is ki raat ka qiyam nawafil hai, jis ne bhi is mahine me (koi) neki ki woh aise hai jis tarha aam dino me fareeza ada kiya jaaye, aur jis ne Ramzan me farz ada kiya goya ke usne Ramzan ke ilawa sattar farz ada kiye, yeh aisa maheena hai jis ka awwal rahmat aur darmiyan magfirat aur aakhri hissa jahannam se aazaadi hai.'

Saheh ibn khuzaima:-1887.



Is hadees ke mutallik imaam Abu Hatim raazi rh kehte hain:- ye hadees munkar hai.

Al ilal li ibn abi Hatim:-1/249.

Imam uqaili rh ne kaha:- is ki koi asal nahi.

Al kamil:-3/1157.

Hafiz Ibn Hajar rh ne kaha:- is hàdees ka daromdaar ali bin zaid par hai aur wo zaeef hai.

Ithaf ul muhartah:-5/561.

Shaikh Naseeruddin albani rh ne ise munkar kaha.

Silsila ahadees e zaeefa:-871.

Shaikh Abu ishaaq al misri Hafizahullah ne kaha:- ye hadees batil hai.

Al nafila fi ahadees e zaeefa wa baatila:- 1/291.


Is hadees ko imam Ibn khuzaima ke ilawa kisi ne saheh nahi kaha.

Wallahu Alam..


Danish Ansari