------------------------------------------------------------------------------------

                        اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه           
SUNNAT E RASOOLﷺ SE MUHABBAT KA BAYAAN !!

                         ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ





Irshad baari tal'a hai :

{ قُلۡ  اِنۡ کُنۡتُمۡ تُحِبُّوۡنَ اللّٰہَ فَاتَّبِعُوۡنِیۡ یُحۡبِبۡکُمُ اللّٰہُ وَ یَغۡفِرۡ لَکُمۡ ذُنُوۡبَکُمۡ ؕ}

keh do ke agar tum mujhse mohabbat karte ho to meri ittebaa karo, allah tumse mohabbat karega aur tumhare gunah baksh dega.

 ( Surah aal e imran ayat no 31).

is ayat e Karima se saaf zahir ke hai ke ALLAH ﷻ ko razi karne ke liye Nabi kareem ﷺ ki ittebaa zaruri hai. aap ﷺ ki ittebaa ka sirf ek hi tarika hai, aur wo yeh ke aap ﷺ ki ahadees par amal kiya jaye, sahih ahadees par amal karne se hi aap ﷺ ki ittebaa aur ALLAH ﷻ ki itaa'at ho sakti hai.


ALLAH ﷻ farmata hai : { مَنۡ یُّطِعِ الرَّسُوۡلَ فَقَدۡ اَطَاعَ اللّٰہَ ۚ}

jisne rasul allah ﷺ ki itaa'at ki usne ALLAH ﷻ ki itaa'at ki.

 (surah nisa ayat no  81).


Rasul allah ﷺ ne farmaya :  { مَنْ أَطَاعَنِي دَخَلَ الْجَنَّةَ }

Jisne meri itaa'at ki wo jannat me dakhil hoga.

 ( Saheh Bukhari 7280 ).


Ek hadees me aya hai ke :

{  ، فَمَنْ أَطَاعَ مُحَمَّدًا صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، فَقَدْ أَطَاعَ اللَّهَ ، وَمَنْ عَصَى مُحَمَّدًا صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَدْ عَصَى اللَّهَ }

pas jisn Mohammed ﷺ ki itaa'at ki to yakeenan usne ALLAH ﷻ ki itaa'at ki, aur jisne Mohammed ﷺ ki nafarmani ki to yakeenan usne ALLAH ﷻ ki nafarmani ki.

( Saheh Bukhari 7281).

sayyedna miqdaam bin ma'di karb rz se riwayat hai ke rasul allah ﷺ ne farmaya : { ألا إنِّي أوتيتُ القرآنَ ومثلَهُ معَهُ }

sun lo, beshak mujhe kitab di gyi hai aur (hujjat hone me) iske sath is jaisi (chiz ) di gyi hai.

( abu dawood 4604 )

is hadees se malum hua ke Qur'an majeed ke sath Nabi ﷺ ki hadees bhi sharai hujjat hai !

sayyadna abu bakar siddique rz ne khalifa hone ke baad khutba dete hue ailaaniya farmaya tha ke:-

  { أَطيعوني ما أَطعتُ اللهَ ورسولَه فإذا عصيتُ اللهَ ورسولَه فلا طاعةَ لي عليكم }

jab tak me ALLAH ﷻ ki itaa'at karun to meri itaa'at kro, aur jab me ALLAH ﷻ aur rasul ﷺ ki nafarmani karun to tum par meri koi itaa'at (laazim ) nhi hai.

( sirat ul Hamid bin ishaa bin yassaar page no 718.  ibne kasir al badaya wan nahaya jild 5 page 279).


is Saheh taarikhi khutbe se kai baaten malum hui.

1 : ALLAH ﷻ ki itaa'at ki tarah rasul allah ﷺ ki ( ahadees e Saheha) ki itaa'at bhi farz hai.

2 : Qur'an o hadees ke mukable me har shaks ki baat mardoood hai.

3 : takleed na jayaz hai.



sayyedna umar rz ne Nabi ﷺ ki hadees sunne ke fauran baad uspe amal kiya tha.


salim bin abdullah bin umar rahimahullah farmate hai :

{  أَنَّ عُمَرَ إِنَّمَا انْصَرَفَ مِنْ حَدِيثِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ }

beshak sayyadna umar rz sayyadna abdur rehman bin auf rz ki bayan karda hadees (عن النبى ﷺ) ki wajah se wapas aye the.

( Saheh Bukhari 6973 ).


sayyadna ali rz farmate hai :

{  مَا كُنْتُ لِأَدَعَ سُنَّةَ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لِقَوْلِ أَحَدٍ }

Nabi ﷺ ki sunnat ( hadees) ko me kisi shaks ke call ki buniyaad par nhi chor sakta.

( Saheh Bukhari 1563 ).


sayyadna usmaan rz ne bhi boht si hadis bayan ki hai.

dekhiye (Saheh Bukhari 4160, 4978) (Sahih Muslim 1604, 1409).



khulfa rashideen ke is muttafikana tarz amal aur degar sahaba ke asaar se yeh baat azhar minal shams hai ke. Nabi ﷺ ki hadis hujjat aur meyaar haq hai.
lihaza har shaks par farz hai ke wo Nabi ﷺ ki sunnat (hadees) se mohabbat kare, isi me dono jahano ki kamyaabi ka yakeen hai.


imam ahlu sunnah ahmad bin hambal rahmahullah ne saaf saaf ailaan farmaya hai :-

jisne rasul allah ﷺ ki (saheh) hadees radd kar di woh halakat ke kinare par hai !

( al hadees hazro jild 2 page 5 wal munakib al imaam ahmad al ibne jozi page no 172 isnaad sahih).

Wallahu a'alam


ALLAH ﷻ SE DUA HAI KE WO HAME SUNNAT E RASOOL ﷺ  PAR AMAL KARTE HUE ZINDAGI GUZAARNE KI TAUFEEK ATA FARMAYE.

             AMEEN