Qur'an e Majeed se muhabbat ka bayaan !!





------------------------------------------------------------------------------------

                        اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه

         Quran Majeed Se Mohabbat !!

                         ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ



Quran majeed ALLAH ﷻ  ka kalam hai jo usne apna aakhri rasool mohammad ﷺ par naazil farmaya hai.



Irshad bari tala hai:-

{وَ ہٰذَا کِتٰبٌ اَنۡزَلۡنٰہُ مُبٰرَکٌ فَاتَّبِعُوۡہُ وَ اتَّقُوۡا لَعَلَّکُمۡ تُرۡحَمُوۡنَ ﴾

 Aur yeh mubarak kitab humne utaari hai , pas iski itteba karo, aur taqwa ikhtiyaar karo taake tumpar reham kiya jaye.

(Al-An'aam 155).



Nabi  e Rehmat ﷺ ne farmaya :-
   
         (وَالْقُرْآنُ حُجَّةٌ لَكَ أَوْ عَلَيْكَ) Aur qur'an (agar tu ispar amal kare to ) teri daleel hai, ya (agar tu iske mukhtalif chale to) tere khilaf daleel hai.

 (sahih muslim 534).



ALLAH ﷻ farmata hai : beshak jo log kitabullah padhtey, namaz kayam karte, aur humne unhe jo rizk diya hai (khufiya w ailaaniya ( ALLAH ﷻ ki raah me) kharch karte hain, wo aisi tijarat ki umeed rakhtey hai jisme koi khasara nhi, taakey ALLAH ﷻ unhe pura badla aur (balkey) apne fazal se unhe (bohat) ziyada de de, beshak wo maaf karne wala aur kadardaan hai. 

( surah fatir 29'30).

Nabi ﷺ ne farmaya :-

{ منْ قَرَأَ حَرْفًا مِنْ كِتَابِ اللَّهِ فَلَهُ بِهِ حَسَنَةٌ، ‏‏‏‏‏‏وَالْحَسَنَةُ بِعَشْرِ أَمْثَالِهَا، ‏‏‏‏‏‏لَا أَقُولُ الم حَرْفٌ، ‏‏‏‏‏‏وَلَكِنْ أَلِفٌ حَرْفٌ وَلَامٌ حَرْفٌ وَمِيمٌ حَرْفٌ }

jo (muslaman) kitabullah se ek huruf padhey to usey uske badle me aik neki milti hai, (ALLAH ﷻ ke waha) aik neki ka ajar das guna hai. me yeh nhi kehta ke الم  ek huruf hai
balke ا (aik) huruf hai, ل (dusra) huruf hai, م (teesra) huruf hai.

(tirmizi 2910).


aik riwayat me ata hai : Qur'an padhne wale se( kayamat ke din) kaha jayega ke padhta jaa aur chadta jaa.
jis tarah duniya me thehar thehar kar tarteel se padhta tha, usi tarah tarteel se padh, tera thikana (jannat me) wo buland mukaam hai jaha tu aakhri ayat padhega.

 (tirmizi 2914).


mere bhaiyoo!!

Qur'an se mohabbat karo, qur'an majeed par amal karo, qur'an ki khoob tilawat karo, qur'an majeed ki ta'azim karo !!

aik riwayat me aaya hai ke :-

Nabi ﷺ aik takiye (pillow) par baithe huvey they ke ( yahodio ki muharrif ) tauraat layi gyi to aap takiye se utar aye aur us takiye par tauraat rakhwayi.

(abu dawood 4449).

Wallahu a'lam.


QUR'AN majeed to hamare pyarey rab ka pyara kalam hai, iski har lihaaz se izzat w takreem karna hum par farz hai.


Allah ﷻ se dua hai ke wo  hame saheh Deen samajhne ki taufeek ATA kare aur Qur'an e majeed Ko samajh kar padhne ki taufeek ATA farmaye.

                       Ameen.



Post a Comment

0 Comments