السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
Nabi ﷺ ki mukhalifat par saza !!
ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
Sawal : kya ye waqia kisi hadees mein mojood hai ke 1 shakhs ne dayen haath se khana khane mein nabi ﷺ ki mukhalfat ki to is ka haath shal ho gaya?
Jawaab : Salma bin aku' r.a se rivayat hai ke aik aadmi ne nabi ﷺ ke paas –apne baen (left) haath se khana khana shuru kya to aap ﷺ ne farmaya :–apne dayen haath se khao. “ is ne kaha : mein is mein taaqat nahi rakhta. aap ﷺ ne farmaya :- tum taaqat nahi rakho ge use sirf taqqabur ne is baat se roka is ke baad apna dayan haath –apne mun (mouth) ki taraf nahi utha saka !
sahih muslim :5268
yeh hadees bilkul sahih hai, jis se maloom hota hai ke rasool Allah ﷺ ki mukammal ita'at karni chahiye, kisi bhi masle mein nafarmani se kaam nahi lena chahiye, musalman kamyaab tabhi hota hai jab wo–apne pyare rasool ﷺ ke qaulan o amlan pairwi kerein !!
Wallahu alam.....
Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul alameen.
0 Comments