Haq baat ka inkaar sirf is wajah se karna ke unki jama'at us baat ki qael nahi ‼


اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه

Haq baat ka inkaar sirf is wajah se karna ke unki jama'at us baat ki qael nahi !!

 ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

Ahle e  jahliat ki ek  aadat ye thi ke wo mehez wohi haq baat mante the jise un ki jamaat bhi manti ho jaisa ke irshad hai :-

وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ آمِنُوا بِمَا أَنْزَلَ اللَّـهُ قَالُوا نُؤْمِنُ بِمَا أُنْزِلَ عَلَيْنَا وَيَكْفُرُونَ بِمَا وَرَاءَهُ وَهُوَ الْحَقُّ مُصَدِّقًا لِمَا مَعَهُمْ قُلْ فَلِمَ تَقْتُلُونَ أَنْبِيَاءَ اللَّـهِ مِنْ قَبْلُ إِنْ كُنْتُمْ مُؤْمِنِينَ


”aur jab un se kaha jata hai ke Allah taala ki utari hui kitaab par imaan lao to keh dete hain ke jo hum par utari gayi is par hamara imaan hai. halanke is ke baad wali ke sath jo un ki kitaab ki tasdeeq karne wali hai, kufar karte hain, achcha un se yeh to daryaft karen ke agar tumhara imaan pehli kitabon par hai to phir tum ne agle Anbia ko kyun qatal kya?

Surah baqarah ayat 91.



un ka matlab yeh tha ke hum par tauraat aur is ke hukum ko saabit karne wali kitaab bhi nazil hui hai is ke imaan par jame rahenge. aayat ka ishara is baat ki taraf hai ke un ka Qur'an par imaan na lana nafsaniat aur hasad ki bina par tha ke quran un logon par kaise nazil ho gaya jo bani Israel mein se nahi hain ya alaina se khud bani Israel murad hain aur un par utaare jane ka matlab ye hai ke wo nazil shuda ehkaam par amal ke mukhalif hain. aayat mazkoorah mein un ki is baat par muzammat ki gayi hai kyunki usi se Qur'an par un ka tanz saaf tor par wazeh hai aur is wajah se bhi muzammat ki gayi hai ke unho ne aik aam hukum ko apni taweel se khaas baat par mahmool kya ya'ni hukum tha Allah ki utari hui sab baton par imaan laane ka lekin, unhon ne use sirf –apne upar utarney wali kitaab par imaan laane ke sath khaas kar diya, yeh un ki khaas aadat thi ke ayaat Elahi ki taweel kitaab ki murad ke khilaaf karte the.


jis kitaab ilahi ka wo inkaar kar rahe hain is ki haqqaniyat ko wo achi terhan jante hain kyunki wo kitaab un ki kitaab ki bhi tasdeeq karti hai aur tamam kutub Aliha(ya'ni jo sahife Allah ﷻ  ki taraf se nazil.hue )  aik dosre ki tasdeeq karti hain. lehaza is kitaab ki tasdeeq zurori hai usi se un ke qoul ki نُؤْمِنُ بِمَا أُنْزِلَ عَلَيْنَا
 ki bhi tardeed ho gayi kyunki jo shaqs taurat ki muwafiqat karne wali kitaab ki tasdeeq nahi karta wo tAorat ki bhi tasdeeq nahi karta isi liye nabi ﷺ  ko hukum diya gaya ke aap ye keh kar un ko tanbeeh kar dijiye ke jab tumhara taorat par imaan laane ka daawa hai to taorat ki tableegh karne walay ambiya ko tum ne qatal kyun kya? toarat to aisi harkat karne ki ijazat nahi deti.


Wallahu alam.


Allah ﷻ   se dua hai ke wo hame Haq baat Ko Haq  manne ki taufeeq ATA farmaye ameen.

Post a Comment

0 Comments