اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه

Jadu ki khuraafat par Amal karna !!

 ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

Ahle jaahiliyat ki 1 adat ye bhi thi ke kitabullah ke bajaye Jadu ki khuraafat par aitqaat rakhte the, jaisa ke Irshad e Bari tal'a hai :-

وَلَمَّا جَاءَهُمْ رَسُولٌ مِنْ عِنْدِ اللَّـهِ مُصَدِّقٌ لِمَا مَعَهُمْ نَبَذَ فَرِيقٌ مِنَ الَّذِينَ أُوتُوا الْكِتَابَ كِتَابَ اللَّـهِ وَرَاءَ ظُهُورِهِمْ كَأَنَّهُمْ لَا يَعْلَمُونَ ٭ وَاتَّبَعُوا مَا تَتْلُو الشَّيَاطِينُ عَلَى مُلْكِ سُلَيْمَانَ وَمَا كَفَرَ سُلَيْمَانُ وَلَـكِنَّ الشَّيَاطِينَ كَفَرُوا يُعَلِّمُونَ النَّاسَ السِّحْرَ وَمَا أُنْزِلَ عَلَى الْمَلَكَيْنِ بِبَابِلَ هَارُوتَ وَمَارُوتَ وَمَا يُعَلِّمَانِ مِنْ أَحَدٍ حَتَّى يَقُولَا إِنَّمَا نَحْنُ فِتْنَةٌ فَلَا تَكْفُرْ فَيَتَعَلَّمُونَ مِنْهُمَا مَا يُفَرِّقُونَ بِهِ بَيْنَ الْمَرْءِ وَزَوْجِهِ وَمَا هُمْ بِضَارِّينَ بِهِ مِنْ أَحَدٍ إِلَّا بِإِذْنِ اللَّـهِ وَيَتَعَلَّمُونَ مَا يَضُرُّهُمْ وَلَا يَنْفَعُهُمْ وَلَقَدْ عَلِمُوا لَمَنِ اشْتَرَاهُ مَا لَهُ فِي الْآخِرَةِ مِنْ خَلَاقٍ وَلَبِئْسَ مَا شَرَوْا بِهِ أَنْفُسَهُمْ لَوْ كَانُوا يَعْلَمُونَ

Roman:-

 Jab kabhi in ke  pass Allah ka koi rasool in ki kitab ki tasdeeq kerne wala aaya inn ahal-e-kitab ke 1  firqe ne  Allah ki kitab ko iss tarah peeth peechay daal diya goya jante hi na the, Aur uss cheez ke peeche pad gaye jisse shayateen ( hazrat ) suleman ki hukoomat mein parhte the. Suleman(A S) ne to kufur na kiya tha balki  yeh kufur shetano ka tha woh logon ko jadoo sikhaya kerte the aur babul mein haroot maroot do farishton per jo utaara gaya tha woh dono bhi kisi shaqs ko uss waqt tak nahi sikhate the jab tak ye na keh den ke hum to aik aazmaeesh hain tu kufur na kar phir log inn se wo seekhte jiss se khawind-o-biwi mein judaee daal den aur dar-asal woh baghair Allah Tal'a ki marzi ke kissi ko koi nuksan nahi phoncha sakte yeh log woh seekhte hain jo inhe nuksan phonchaye aur nafa na phoncha sake aur wo bil yaqeen jante hain ke iss ke lene wale ka aakhirat mein koi hissa nahi. Aur woh bad tareen cheez hai jiss ke badle mein woh apne aap ko farokht ker rahein hain kaash ke yeh jante hote.

Surah baqarah ayat no 101"102.

Is ayat ki mufassal behas tafaseer ki kutub me maujood hai, aur ahle jaahiliyat ki ye khaslat AJ bhi bohut se logo me maujood hai khaas Taur par naam nihaad saliheen jo mukhtalif jaadui amaal ke zariye saanpo Ko rok Lene harhiyaro ki zarb aur aag me Dakhil ho jane ke kartab karte hain, jin ka batil hona Shariat se sabit hai Lekin in logo ne Shariat e ilaahi ko chor  diya aur kitaabullah Ko peeth ke peeche daal diya (walae auzu billahi tal'a) aur in khuraafat ki pairvi karne Lage jo shaitan inki taraf Laya karte the aur kehte the ye hamari karaamat hai halanki karaamat kabhi kisi faajir se zaahir nahi Hoti aur Jo log ye kartab karte hain un ka  fisq zaahir hai, aur haqeekat to ye hai ke inhone  Apne Deen Ko Khel o tamasha Bana daala aise hi logo ke bare me allah ﷻ ka Irshad hai :-
الَّذِينَ ضَلَّ سَعْيُهُمْ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَهُمْ يَحْسَبُونَ أَنَّهُمْ يُحْسِنُونَ صُنْعًا

Roman :-
                Ye wo log hain. Jin ki zindagi ki tamam koshishein bekar ho gayi aur aur wo ISI ghumaan me reh rahein hain ke wo achha kaam kar rahein hain.

Surah kahaf ayat no 104


Wallahu alam .......

Allah ﷻ se dua hai ke wo hame is tarah ki tamaam khuraafat se mahfooz rakhe aur Saheh Deen samajhne ki taufeek  ATA farmaye ameen.