ASSALAMU ALAIKUM WARAHMTULLAH WABARKATHU

ISLAM ME BIWIYON KE HUQOOK !!

 Bismillah hir rehman nir raheem

 Islam me jis tarah bachho ke maa baap ke  huqook hain usi tarah biwiyon ke bhi huqook hai


Jaisa ke muashre me Aam hamey dekhne Ko milta hai ke kuch log apni Biwi Ko pasand nahi karte aur unhe talaaq Dena chahte hain, Lekin talaaq ke Baad jo Biwi ko Haq mehar Dena hota hai, isliye wo shohar apni biwiyon ke saath badsulooki(zulm) kar dete hain, taki tang akar Biwi khud hi khul'aa le le.
Aur is tarah shohar Ko Haq Mehar Ada nahi karna padega

Islam ne is cheez Ko bhi Roka hai,

Jaisa ke Irshad e Bari tal'a hai :-

Arabic:-

 یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا یَحِلُّ لَکُمۡ اَنۡ تَرِثُوا النِّسَآءَ کَرۡہًا ؕ وَ لَا تَعۡضُلُوۡہُنَّ لِتَذۡہَبُوۡا بِبَعۡضِ مَاۤ اٰتَیۡتُمُوۡہُنَّ  اِلَّاۤ اَنۡ یَّاۡتِیۡنَ بِفَاحِشَۃٍ مُّبَیِّنَۃٍ ۚ وَ عَاشِرُوۡہُنَّ بِالۡمَعۡرُوۡفِ ۚ فَاِنۡ کَرِہۡتُمُوۡہُنَّ فَعَسٰۤی اَنۡ تَکۡرَہُوۡا شَیۡئًا وَّ یَجۡعَلَ اللّٰہُ فِیۡہِ خَیۡرًا کَثِیۡرًا ﴿۱۹﴾

Roman :- 
    Aye' Emaan walo! Tumhen halal nahi kay zabardasti aurton ko virsay mein ley betho unhen iss liye rok na rakho kay jo tum ney unhen dey rakha hai uss mein say kuch ley lo haan yeh aur baat hai kay woh koi khuli buraee aur bey hayaee keren unn kay sath achay tareeqay say bod-o-baash rakho go tum unhen na pasand kero lekin boht mumkin hai kay tum kissi cheez ko bura jano aur Allah Taalaa iss mein boht hi bhalaee ker dey

Surah Nisa ayat no 19

Agar Biwi burai aur be hayaai par utar ayi hai tab use choda ja Sakta hai

Aisa nahi hai ke khwaah ma khaa choti choti baton par ladaai ki jaye -

Jaisa ke :- saalan me namak zyaada  pad Gaya to is baat par ladaai ki, use mara aur aye din jhagda shuru kar diya, taki tang akar khul'aa le le aur aur mujhe Haq Mehar Ada na karna pade

Is ayat se ye baat bhi pata chalti hai ke agar Biwi be hayaai par utar ayi to uske shohar Ko ikhtiyaar hai ke wo  apni Biwi Ko burai aur behayaai se roke

Misaal ke Taur par agar kisi ki Biwi Bina parde ke baahar nikalti hai to uske shohar Ko chahiye ke wo ZAbardasti use parda karwaye


Pehle akhlaaq se samjhaaye, phir pyaar se samjhaaye, phir Zabardasti samjhaaye, aur agar Biwi fir bhi baaz na aye to fir aisi Biwi Ko saath  rakhne ki koi zarurat nahi hai, Lekin Sabse pehle Islah ki koshish honi chahiye

Kyunki ye khawand ki Zimmedari hai ke wo apni biwi, aur bachho Ko dozakh ki Aag se bachaaye



Allah tal'a Qur'an e Kareem me farmata hai :-       



یٰۤاَیُّہَا  الَّذِیۡنَ  اٰمَنُوۡا قُوۡۤا  اَنۡفُسَکُمۡ  وَ اَہۡلِیۡکُمۡ  نَارًا وَّ قُوۡدُہَا  النَّاسُ وَ الۡحِجَارَۃُ  عَلَیۡہَا مَلٰٓئِکَۃٌ  غِلَاظٌ شِدَادٌ لَّا یَعۡصُوۡنَ اللّٰہَ مَاۤ  اَمَرَہُمۡ وَ یَفۡعَلُوۡنَ مَا  یُؤۡمَرُوۡنَ ﴿۶﴾

Roman Urdu:-

*Aey eman walo! Tum apney aap ko aur apney ghar walon ko uss aag say bachao jiss ka endhan insan hain* aur pathar jiss per sakht dil mazboot farishtay muqarrar hain jinhen jo hukum Allah Taalaa deta hai uss ki na farmani nahi kertay bulkay jo hukum diya jaye baja laatay hai

Surah tehreem surah no 66 ayat no 6

Yahan 1 baat dhyaan Rakhein ke duniya me koi bhi Insan perfect nahi hai, maa baap achhe rishto ke intezaar me bachhiya Umarein  guzaarish deti hain, aur phir Baad me kehte hain hame kisi bhi qism ka ladka mil jaye,ham apni beti ki shaadi uske saath kar denge

Aur ISI tarah muqammal (perfect) ladki ki Talaash me ladke ki bhi umar nikal jati hain

Duniya ke har Shaqs me koi na koi khaami zaroor maujood hai, is Ko is khaami ke saath hi qubool karna hoga

Hatta ke imaam e Kainaat ﷺ ki biwiyon se bhi baaz maqaamat par saheh nahi hua jiski wajah se Allah paak ne in Ko sakht lehje me samjhaaya:-

یٰنِسَآءَ  النَّبِیِّ مَنۡ یَّاۡتِ مِنۡکُنَّ بِفَاحِشَۃٍ  مُّبَیِّنَۃٍ یُّضٰعَفۡ لَہَا الۡعَذَابُ ضِعۡفَیۡنِ ؕ وَ کَانَ ذٰلِکَ عَلَی اللّٰہِ  یَسِیۡرًا ﴿۳۰﴾

Roman Urdu:-
                           *Aey nabi ki biwiyo! Tum mein say jo bhi khulli bey hayaee ( ka irtikab ) keray gi ussay dohra azab diya jayega* aur Allah Taalaa key nazdeek yeh boht hi sehal ( si baat ) hai

Surah ahzaab surah no 30 ayat no 33

66 : سورة التحريم 4

اِنۡ تَتُوۡبَاۤ  اِلَی اللّٰہِ  فَقَدۡ صَغَتۡ قُلُوۡبُکُمَا ۚ وَ اِنۡ  تَظٰہَرَا عَلَیۡہِ  فَاِنَّ اللّٰہَ  ہُوَ مَوۡلٰىہُ  وَ جِبۡرِیۡلُ وَ صَالِحُ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ ۚ وَ الۡمَلٰٓئِکَۃُ  بَعۡدَ  ذٰلِکَ ظَہِیۡرٌ ﴿۴﴾

*( aey nabi ki dono biwiyo! ) agar tum dono Allah kay samney tauba kerlo ( to boht behtar hai ) yaqeenan tumharay dil jhuk paren hain aur agar tum nabi kay khilaf aik doosray ki madad karo gi pus yaqeenan uss ka kaar saaz Allah hai aur jibraeel hain aur nek ehal-e-eman aur inn kay ilawa farishtay bhi madad kerney walay hain*

Surah tehreem surah no 66 ayat no 4

Apni biwiyon ke saath husn e sulook karo na ke karaahat (chidchida pan ) mehsoos karo Mumkin hai koi burai tumhare andar bhi ho aur wo tumhari Biwi me maujood na ho aur Allah tal'a ISI me se Khair nikaal de kyunki Allah paak farmata hai :-

کُتِبَ عَلَیۡکُمُ الۡقِتَالُ وَ ہُوَ کُرۡہٌ لَّکُمۡ ۚ وَ عَسٰۤی اَنۡ تَکۡرَہُوۡا شَیۡئًا وَّ ہُوَ خَیۡرٌ لَّکُمۡ ۚ وَ عَسٰۤی اَنۡ تُحِبُّوۡا شَیۡئًا وَّ ہُوَ شَرٌّ لَّکُمۡ ؕ وَ اللّٰہُ یَعۡلَمُ  وَ اَنۡتُمۡ  لَا تَعۡلَمُوۡنَ ۲۱۶           
Roman Urdu:-
                        *Tum per jihad farz kiya gaya go woh tumhen dushwar maloom ho mumkin hai tum kissi cheez ko buri jano aur wohi tumharay liye bhali ho aur yeh bhi mumkin hai kay tum kissi cheez ko achi samjho halankay woh tumharay liye buri ho haqeeqi ilm Allah hi ko hai tum mehaz bey khabar ho*

Surah Al  baqara  surah no 2 ayat no 216

Buniyaadi Taur par ye ayat jihaad ke mutallik hai Magar usooli Taur par duniya ke tamaam muaamlaat ke liye hai


Aur Irshad e rabbe zul jalaal hai :-

وَ اِنۡ اَرَدۡتُّمُ اسۡتِبۡدَالَ زَوۡجٍ مَّکَانَ زَوۡجٍ ۙ وَّ اٰتَیۡتُمۡ  اِحۡدٰہُنَّ قِنۡطَارًا فَلَا تَاۡخُذُوۡا مِنۡہُ شَیۡئًا ؕ اَتَاۡخُذُوۡنَہٗ بُہۡتَانًا وَّ  اِثۡمًا مُّبِیۡنًا ﴿۲۰﴾
Roman Urdu:-
                          *Aur agar tum aik biwi ki jagah doosri biwi karna hi chahao aur inn mein say kissi ko tum ney khazana ka khazana hi dey rakha ho to bhi uss mein say kuch na lo, kiya tum isay na haq aur khula gunah hotay huye bhi ley lo gay, tum issay kaisay ley lo ge?*

Surah nisaa surah no 4 ayat no 20

Ya'ni talaaq dene ke Baad apni Biwi se koi maal na mango, aur na hi ehsan jatao, Aisa hargiz na karna




Nabi e Rehmat ﷺ ne farmaya mo'mineen me iman ke lihaaz se kaamil iman wala wo hai, jis ke akhlaaq Sabse behtar hain, aur unme behtreen log wo hain jo apni biwiyon ke liye behtreen  hain

Jam e Tirmazi H # 3895
Musnad Ahmed H # 7133, 9153
Mishkaat UL masabeeh H # 3252

Ye ap ﷺ  ka farmaan tha ab unki biwiyon (ummhatul mo'mineen) ka  ka farmaan bhi suniye :-

Momino ki maa sayyada Ayesha salamullah alaiha farmati hain ke wo 1 Safar me nabi ﷺ ke saath thi maine ap ﷺ se daur (race) ka muqabla Kiya, to me Jeet gayi, phir jab mera badan bhaari ho Gaya to Maine ap ﷺ  se (dobara) muqabla kiya, to ap ﷺ Jeet Gaye, is par ap ﷺ ne farmaya  *ye Jeet us Jeet ke badle hai*

*(Ya'ni shohar aur biwi me is kadar  hasi mazaak ho sakta hai)*

Abu Dawood H # 2578
Ibn e Maja H # 1979
Silsila tus sahiha H # 1945
Musnad Ahmad H # 5169, 7872, 7873
Mishkaat H # 3251


Lekin hamare sub continent ke culture me jab kisi ki shaadi hone lagti hai to *badi Umar ke log kehte hain ke pehle din hi Biwi Ko control kar lo (aur ISI wajah se muaamlat kharaab hote hain)*

Biwiyon ke saath husne sulook karna, ahtraam ke saath Pesh ana, muhabbat karna, ye sab cheezein sawaab me dakhil hain


Rasool e khuda ﷺ ne farmaya :- hatta ke us luqme par bhi sawaab milega jo tum apni Biwi ke muh me rakhoge

Sahih Bukhari H # 1295, 2742, 4409, 5354
Sahih Bukhari H # 5668, 6373, 6733
Jam e Tirmazi H # 2116
Abu Dawood H # 2864
Musnad Ahmad H # 6324, 7260
 Sahih Bukhari H # 5096
Sahih Muslim H # 6946, 6948
Jam e Tirmazi H # 2780
Ibn e Maja H # 3998
Silsila tus sahiha H # 2706
Musnad Ahmad H # 10042
Mishkat H # 3085





Nabi e Akram ﷺ ne farmaya me Apne Baad mardo ke liye aurto se zyaada mizr koi fitna khayaal nahi karta (fitne se muraad azmaaish).

Aur nabi ﷺ ne aurto Ko sheeshe ki maanind bhi kaha hai.

Saheh Bukhari #6161,6202,6210,6211.
Saheh muslim#6037 to 6040.
Musnad Ahmad #11480,11482.
Mishkaat#4806

RasoolAllah ﷺ  1 Safar me the ap ﷺ  aapni azwaaj ke paas Gaye jinki sawaariyon ke saath ap ﷺ  ka 1 habshi ghulaam tha unka name anjsha tha, wo Hadi padh Raha tha (jiski wajaah se sawaari tez chalne lagi )nabi ﷺ ne unse farmaya anjsha ahista chaal ikhtiyaar kar in sheeshe Ko mat tod muraad kamzor aurte thi ( ke sawaari se gir na jayein .

Ya'ni Apne oont Ko bhi ahista chalana ka hukm diya jisse andaaza Kiya ja Sakta hai ke apni biwiyon ke saath hame husn e sulook karna chahiye.

Ye hamare yahan badnaseebi hain ke ladke ladkiyan love marriage kar  lete hain, aur fir shaadi ke Baad inme wo muhabbat nahi Rehti jo shadi se pehle (haraam aur najaaiz )muhabbat Hoti hai.

Lekin jo Shaqs kitaabo sunnat ki pairwise karne wala ho unko biwiyon ke huqook pata honge aur wo Biwi se husn e sulook karne wala bhi hoga.

Jaise ke sayyada Ayesha salamullah alaiha farmati hain nabi e Kareem ﷺ ki muthhi me hamare Dil the (ya'ni be intiha shafqat ke Baawajood unka hampar raub tha).

Raub hamesha husn o akhlaaq se ATA hai, badtameezi karne ya oonchi awaaz karne se raub nahi ATA ,aur fir 1 waqt ATA hai jab Biwi kisi aur Shaqs ki ho jati hai.Ur khususan jab bachhe bade ho jate hain to mard kamzor hota chala jata hai
 Aur aurat mazbot Banti Chali jati hai.

Sahih muslim#3645
Musnad Ahmad# 7121
Mishkaat #3240


Nabi e kareem ﷺ  ne farmaya koi koi imaandar khawand apni imaandar Biwi se bughz o adaawat  nahi rakhta kyunki agar wo apni Biwi ki 1 Adat napasand karta hai to kisi  dusri sifat ki wajaah se razi aur khush ho Jata hai.

Saheh Bukhari# 3331,5184
Saheh muslim#3643,3644,3640
Musnad Ahmad# 7128 to 7132,10300
Mishkaat 3239



RasoolAllah ﷺ ne farmaya aurto ke bare me meri wasiyat ka hamesha khayal Rakhna, kyunki aurat pasli se paida ki gayi hai,pasli me bhi Sabse zyaada tedha hissa upar ka hissa hota hai, agar koi Shaqs use seedha karne ki koshish kare to anjam kaar Tod kar hi rahega, aur agar use wo aise hi chod dega to hamesha hi tedhi reh jayegi,pas aurto ke bare me Meri naseehat Mano aurto se achha sulook karo. 

Saheh hadees *********

Yahan seedha karne se muraad ye nahi hai ke use shariyat ke ahkaam me hi nahi chalana balki usse muraad ye hai ke aurto ki ba'az adato Ko badalne se gurez karo,Lekin agar uski adatein shariyat ke Khilaf hain to usko saheh karna mard ki Zimmedari hai
*Jaisa ke agar koi aurat ye kahe ke mujhe namaz padhne ki adat nahi hai*
To yaad rahe ye Adat nahi buraai hai jo isne khud haasil ki Hui hai.

Agar Biwi ya bachhe shariyat ki hadon Ko todte hain to wahan ye nahi kaha jayega ki ke ye unki adat hai.

Is tarah ke sharai muaamlat me iski giraft zaroor karni hogi.

Kyunki ﷻ آللہ ne hampar jo shariyat naafiz ki hai uska ikhtiyaar bhi ham logo Ko hi diya hua hai.

Agar ﷻ آللہ  ne hame kaha hai ke namaaz qayem karo to namaaz padhne ka ikhtiyaar hame diya hai,


Jin cheezon ka ﷻ آللہ  ne hamse nahi poochna unka ikhtiyaar bhi hame nahi diya kyunki ye Taqdeer me daakhil hai,
Misaal ke Taur par ﷻ آللہ  hamse ye nahi poochega ke :-

Tumhari ankhon ka rang Neela ya sabz kyun hai ?

Tumhari naak moti kyu hai ye tumhari naak Patli Kyun hai ?

Tumhara rang safed kyu hai ya Kala kyun hai ?

Ye batein ﷻ آللہ ne hamse nahi poochni kyunki ye cheezein Taqdeer me shaamil hai aur unke bare me sawal nahi Kiya jayega, hamse sawal in cheezon ke bare me kiya jayega jinka hamko ikhtiyaar hai, namaaz padhna ya na padhna, parda karna ya na karna, Nek kaam karna aur Bura kaam  karna ye sab hamare ikhtiyaar me shaamil hain.

Abu Dawood#2177
Ibne Maja#2018
Mishkaat#3280

Nabi e Rehmat ﷺ ne farmaya ke Allah tal'a ke nazdeek halaal cheezon me talaaq se zyaada koi napasandeeda cheez nahi.

Talaaq halaal hai jayez hai Lekin Sabse zyaada napasandeeda hai ﷻ آللہ nahi chahta ke talaaq ho kyunki tamaddun ki jad kat jati hai jab Miyan Biwi ka rishta khatm ho Jayega to bachho ka kya banega ?    Bachhe bebaak Hokar school ya college hi nahi ja sakenge.

Koshish karni chahiye ke muaamlat Ko pyaar muhabbat se aur talaaq tak naubat na hi aye.

Shaitaan Sabse zyaada khush jab hota hai jab uska chela kisi Miyan Biwi ka talaaq karwata hai  aur wo Apne chele Ko gale bhi lagaata hai.

Saheh muslim#7105,7106
Sisila tu saheha lilbani#1919
Musnad Ahmad#10273
Mishkaat#72



Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya iblees  apna takht paniyo par bichaata hai fir wo Apne Lashkar rawaana karta hai uske Sabse zyaada Kareeb woh hota hai jo jo Sabse bada fitna daalta hai inme se 1 akar kehta hai Maine falan falan kaam kiye hain, wo(shaitaan) kehta hai tumne kuch nahi Kiya fir unme se 1 akar kehta hai Maine us Shaqs ko(jiske saath wo tha) us waqt tak nahi choda yahan tak ke uske aur uski Biwi ke darmiyaan tafreek Kara di(talaaq karwa di ) wo (shaitaan)usko Apne Kareeb karta hai aur gale lagaata hai aur kehta hai tum Sabse behtar ho.



Shaitaan bhi har kisi ke saath hota hai kyunki Nabi ﷺ ne farmaya tha ke shaitan insan me khoon ki tarah gardish karta hai.

Saheh bukhari#2038
Mishkaat#68


Tum me se har Shaqs ke saath 1 Jin Aur 1 Farishta saath mamoor kar diya Gaya hai sahaaba e kiraam ne arz Kiya ya RasoolAllah ﷺ  ap  ke saath bhi ?
Ap ﷺ ne farmaya  Han Lekin ﷻ آللہ ne uske Khilaf meri madad ki to wo iman wala ho Gaya, ab wo mujhe sirf Khair o bhalai ki baat  hi kehta hai.

Shaitaan sirf daawat deta hai Aisa nahi hai ke koi Shaqs namaaz padhne ka ja Raha ho aur shaitaan samne akar khada ho jaye aur kahe ke me tumhe AJ namaaz nahi padhne dunga.

Aisa nahi hota balki shaitaan bas waswse daal sakta hai  aur sirf burai ke daawat de sakta hai shaitaan to khud qayaamat ke din kahega ke Insan par to mera koi Zor hi nahi tha.

Surah Saba ayat no 21
Aur shaitaan ka unpar koi Zor (Dabao) nahi tha.

Aur 1 jagaah farmaya

Surah qaaf ayat no 27.

Us ka hamnasheen(shaitaan) kahega aye hamare rab Maine use gumraah nahi Kiya tha balki ye khud hi door daraaz ki gumraahiyo me tha.



ISI tarah Farishta bhi bas dawat deta hai ab ye hamare ikhtiyaar me hai ke ham nek Jamin ki daawat qubool karte hain ya nahi.


Shaitaan Apne chele Ko gale lagaata hai jo miya Biwi ke darmiyaan talaaq karwata hai kyunki Miyan Biwi ke alag hone se bachhe be raah rawaiiye ka shikaar ho jate hain muaashre me nasoor ban jate hain aur ma baap ke na hone ki wajaah se buraaiyon me mubtila hi jate hain.

Lihaaza Miya Biwi ke jhagda Ko jald as half khatm karna karwana chahiye.



Ye sab is lecture me se Liya Gaya hai Jim Hazrat Ko sunne ka shauq ho wo is link par click karke sun sakte hain

 Mas'alah 21 https://youtu.be/J1MX5iiJVDA