RAMZAAN KE AKHRI ASHRE KI TAAK (ODD) RAATON ME LAILATUL QADR KO TALAASH KARO !!


 اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه

RAMZAAN KE AKHRI ASHRE KI  TAAK (ODD) RAATON ME LAILATUL QADR KO TALAASH KARO

 ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ



Ammi  Ayesha r.a se riwaayat hai ke nabi ﷺ ramzaan ke akhri Ashre me aitkaaf Kiya karte the hatta ke Allah ﷻ ne ap ki rooh kabz kar li, phir ap ke Baad ap ﷺ ki biwiyon ne aitkaaf Kiya.


Dekhiye saheh Bukhari 2026, saheh muslim 1176.

Ammi Ayesha r.a riwaayat Karti hain ke Rasool Allah ﷺ  ramzaan ke akhri Ashre me aitkaaf  karte the aur  farmate the ke ramzaan ke akhri Ashre me lailatul qadr Ko talash karo.

Saheh Bukhari 2025, muslim 1169.

Ammi Ayesha r.a farmati hain ke Rasool Allah ﷺ   jab aitkaaf karte to apna SAR (masjid se baahar nikal kar) mere kareeb karte aur me us me kanghi Karti ap (sirf)insaani zarurat (qaza e haajat) ke liye hi ghar me Dakhil hote the.

Al mautta Imaam Malik 1/312, muslim 297 as sunnnah 1836.

Ammi Ayesha r.a riwaayat Karti hain ke jab akhri ashra Dakhil hota to Rasool Allah ﷺ  apna azaar (dhoti ) khoob baandh lete Raat Ko khud bhi jaagte aur ghar walo Ko bhi jagaate the (bohut zyaada ibaadat karte the.

 saheh Bukhari 2524,muslim 1174.

Ammi Ayesha r.a riwaayat Karti hain Rasool Allah ﷺ  akhri Ashre me (ibaadat me) jitni mehnat karte the utni mehnat dusre Dino me nahi karte the.

 Jaam e Tirmizi 796, muslim 1175.

Abu Saeed khudri r.a se riwaayat hai ke Rasool Allah ﷺ  ramzaan ke darmiyaani Ashre me aitkaaf Kiya karte the phir 1 saal ap ne aitkaaf Kiya hatta ke 21 ve ramzaan ki raat Hui his ki subah ap aitkaaf se nikalte the, ap ﷺ  ne farmaya jis ne mere saath aitkaaf Kiya hai to wo akhri Ashre me bhi aitkaaf kare kyunki maine is (qadr ki) Raat Ko dekha hai phir bhula diya Gaya hun aur maine dekha ke is ki subaah Ko Paani aur mitti par sajda kar Raha tha lihaaza Ise akhri Ashre me Talaash karo aur har Taal (odd) raat me Talaash karo,

Abu Saeed khudri r.a ne farmaya is Raat barish Hui aur masjid ki chhat(roof) khajoor ki tehniyon ki thi jo tapakne lagi thi.

Abu Saeed khudri r.a ne farmaya ke meri dono ankhon ne dekha ke Rasool Allah ﷺ  ki paishaani aur naak par 21vi ki subah Ko Pani aur mitti ka asar tha.

Saheh Bukhari 2027, al mautta rawaah ibne Qasim 516. Sanad saheh.

Teeno ashro me aitkaaf jayez hai Lekin Afzal ye hai ke akhri Ashre me aitkaaf Kiya jaye taki lailatul qadr ki fazilat hasil ho sake,

Lailatul qadr akhri Ashre ki Taak raton me Hoti hai dekhiye al mautta  ibne Qasim hadees no 283.

AITKAAF SUNNAT HAI :-

Aitkaaf 1 Ashre se Kam ya'ni 1 din ka bhi ho Sakta hai jaisa ke dusre Dalail se sabit hai dekhiye saheh Bukhari 3144, Muslim 1656, 4294, poora maheena aitkaaf bhi jayez hai.

Wallahu Alam.

Allah se dua hai ke wo hame kehne sunne se zyaada amal ki taufeek ata farmaye ameen




Post a Comment

0 Comments