Amaal ka daromdar niyat par hai !!









اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه

Amaal ka daromdar niyat par hai !!

 ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

إِنَّمَا الْأَعْمَالُ بِالنِّيَّاتِ، وَإِنَّمَا لِكُلِّ امْرِئٍ مَا نَوَى



Amaal ka daromdar niyato par hai aur har Insan ke liye Wahi kuch hai jis ki us ne niyat ki.


Saheh Bukhari :-1.


Fawaid :-   Hazrat Umar r.a se marvi is hadees ke mukammal Alfaaz hasb e zail hain:-


Agar koi apna watan Allah aur us ke rasool  ﷺ ke liye chorhta hai to us ki hijrat Allah aur us ke Rasool ke liye hogi, aur agar kisi ki hijrat duniya kamane ya kisi aurat se shadi rachane ke liye ho gi to us ki hijrat usi ke liye hai jis ke liye us ne hijrat ki hai.


Saheh Bukhari :- 54.


Niyat me sharai ma'ne ye  hain ke Allah ki Riza ke liye kisi kam ka iraada Kiya jaye is sharai ma'ne ke Aitbaar se sirf ibaadad me husn e niyat ki zarurat Hoti hai, adaat  me husn e niyat yani ikhlas ki zarurat nahi  maslan khana, peena aur Sona wagerah in kamo me husn e niyat ki zarurat nahi balki is ke bagair hi duniyavi maqasid hasil ho jate hain, albatta ikhlaas aur husn e niyat se aise kamo Ko ibaadat me Shamil Kiya ja Sakta hai aur inhe karne ke sabab sawab hasil ho Sakta hai jaisa ke hadees me hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya:-


Jab mard sawab ki niyat se Apne ahlo ayal (ghar walo) par kharch karta hai to wo us ke Haq me sadqa ban Jata hai.


Saheh Bukhari:-55.


ISI tarah raat Ko Sona Insan ki adat aur zarurat hai Lekin agar sote waqt ye niyat ki ke subah jaldi uthunga aur namza e Fajr ba jama'at Ada karunga to is Bina par Sona muqadma ibaadat hone ki wajah se bais e ajar o sawab hai,
Wazeh rahe ke ikhlaas ke liye darj zail 3 cheezon me se kisi 1 ka hona zaroori hai:-


1:- ibaadat Allah ki Riza ke liye ho.


2:- Jannat hasil karne ke liye ki jaye .


3:- jahannam se darte hue ki jaye.


Wallahu Alam.


Wama Alaina illal balaagh.


Danish Ansari

Post a Comment

0 Comments