اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه

Rishtedari tark karne wale ka anjam  !!

 ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

Jubair bin mut'am r.a se riwaayat hai ke rasool Allah ﷺ ne farmaya :-  Jannat me cutne wala dakhil nahi hoga ya'ni rishtedari Ko todne wala.


Saheh Bukhari :- 5984.


Fawaaid:-


1:- Qur'an Majeed me qata rehmi aur fasaad fil arz karne walo par la'nat ki Waeed ayi hai :-


Aur Jin tallukat Ko allah ﷻ ne jodne ka hukm diya hai un Ko todte hain


Surah ra'ad ayat no 25.
aur farmaya:- pas tum se is baat ki ummeed hai ke agar tum wali ban jao to Zameen me fasad karo aur apne rishte kaat do, yaHi log hain Jin par Allah ne la'nat ki pas unhe behra kar diya aur  un ki ankhein andhi kar di.


Surah Muhammad ayat no 22.


2:- sila rehmi se kon si rishtedari muraad hai? Haqeekat ye hai  ke kai maratib hain pehla ye ke apas me aisi rishtedari ho JIS se bahmi nikah haram ho Jata hai  ya'ni un dono me se 1 mard aur 1 aurat ho aur un ka nikah na ho Sakta ho  maslan ChaCha phoophi, aur un ka bhateeja,mamu Khala aur un ka bhanja ye aisi qarabat hai ke agar in dono rishtedaro Ko aurat mana  jaye to inhe 1 mard ke nikah me Jama karna jayez nahi, is ki misal ye hai ke aurat aur us ki phoophi aur aurat Ko us ki  Khala ko do behno ki tarah 1 nikah me Jama karna haram hai ! Kyunki is se un ke darmiyaan qata rehmi ka khatra hai Jin rishtedaro ka bahmi nikah ho Sakta hai maslan admi aur us ke ChaCha, phoophi mama, aur Khala ki aulaad In ke darmiyaan wo (Reham)rishta nahi jo sab se Nazuk hai aur 1 nikah me Jama karne se aur talaq aur khula ki  Surat me toot Jata hai.


Dusra ye ke wo 1 dusre ke waris bante hon, Zahir hai ke jo qarabat waris Ko hasil Hoti hai gair waris Ko hasil nahi Hoti Warna Allah tal'a use bhi waris bana deta.


Teesra ye ke un dono ke darmiyan kisi wajah se bhi qarabat hasil ho, un me sab se zyaada Haq maa ka phir baap ka phir hasb  maratib dusre kareeb walo ka Haq hai Magar darja ba darja Haq badhta chala Jata hai.


3:- sila rehmi ka kam az kam darja ye hai ke apas me salam o Kalam ka silsila qaem rahe agar ye bhi baqi na raha to sila rehmi kaise?Is ke baad akaarib(rishtedaar) ke haal ki khabargiri, maal o Jaan se un ki madad aur galtiyon se darguzar sila rehmi ki mukhtalif surtein hain.


4:- wo sila rehmi jo Allah ﷻ ham se chahta hai us ko Rasool Allah ﷺ  ne  bayan farmaya hai:-
Sila rehmi karne wala shakhs wo nahi jo barabar ka muaamla karta hai lekin asal sila rehmi karne wala shakhs wo hai ke jab us ki rishtedari todi jaye to wo use milaye.


Saheh bukhari:-5991.


5:- rishtedaro se sulook ke 3 martabe hain:-


1:- sila rehmi:- rishtedar tallukat tod dein to un se milein aur husn e sulook karein.


2:- mukafat:- rishtedar achha sulook kare to un ke saath achha sulook karein .


3:- Qata rehmi:-  agar koi rishtedaro se talluk qata (tod) le khwah un ka bura sulook karne ki wajah se kare khwah un ki taraf se achha sulook karne ke bawajood tallukat tod de baharhal agar unki taraf se achha sulook hone ke baad Bura sulook karta hai aur rishte Nate tod leta hai
To ye qata rehmi ki badtareen surat hai dono me se jis bhi janib se qata talluk ho to badtareen wo hai jo is me pehal kare.


6:- Abu hurerah r.a se riwayat hai ke 1 admi ne arz kiya  ke mere kuch rishtedar hain jin se me talluk jodta Hun aur wo mujh se talluk todte hain,  me un ke saath neki karta hun aur wo mere saath burai karte hain me un ki buraiyon Ko darguzar karta hun wo mere saath jahalat ka sulook karte hain, ap  ﷺ ne farmaya:-  agar tum aise hi ho jaisa tum ne bataya to tum un ko jalti raakh khila rahe ho aur jab tak tum is ravish par rahoge in ke mukable me Allah ki janib se 1 madadgar hamesha tumhare sath rahega.


Saheh muslim:- 6525.


Aakhri naseehat :-. Rishtedari Ko tark karne wala Jannat me nahi jayega  is ka matlab ye hai ke jo shakhs Allah aur us ke Rasool ke farman sunne ke baad bhi qata rehmi ko halal samajhta hai (jo ki haram hai) wo kabhi bhi Jannat me dakhil  nahi hoga kyunki Allah ke haram karda cheez ko halal samajhne wala musalman hi nahi rehta.


Aur jo shakhs Ise halal nahi samajhta haram hi samajhta hai Magar kisi wajah se is gunah ka murtakib ho jata hai wo un khushnaseeb me se nahi hoga jo ibtida me hi jannat me dakhil ho jayenge ye matlab is ke liye bayan kiya jata hai ke kabeerah gunah ke muttalib momin hamesha jahannam  me nahi rahenge.


Wallahu Alam.................


Wama Alaina illal balaagh.