اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه


Aag (fire) bujha Kar aur heater band Kar ke soya Karo !!


ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

Sardi kE mausam me umuman log sardi se bachao ke liye Kai tarah ki cheezon ka istemal  karte Hain,

Gaun dehat(village) me ghaas phoos ko Jala kar ya koyle ke zariye se sukoon hasil karte Hain 

Jabki shehro me heater wagerah ka istemal Kiya jata hai,

Aur jab in cheezon ke istemal ka mausam ata hai to saath hi Kai waqiyaat sunne ko milte Hain, ke raat ko  soye lekin subah ko uth na sake aur Ghar baar raakh me tabdeel ho gaya.

 walaiauzubillah

Aur is ki badi wajah nabi e pak ﷺ  ki pakeeeza  talimat se adm waqfiyat  hai, jabki shariyat e islamiya me sadiyon pehle logo ki khabardaar Kiya ja chuka hai,

Sayyadna Abdullah bin Umar r.a  se riwayat hai ke rasool Allah ﷺ ne farmaya:-  "jab tum sone Lago to apne gharo me aag ko jalta hua na chorho.

Saheh bukhari:- 6293.

Sayyadna Abu Musa Al ashari r.a ka bayan hai,

Madeena taiba me 1 Ghar jal gaya jabki ahle Khana(Ghar waele) bhi Ghar me maujood the,

Nabi  ﷺ ko is waqiye ke bare me bataya gaya to to ap ﷺ ne farmaya:-  yeh aag tumhari dushman hai lihaza jab tum sone jao to ise bujha diya  Karo.


Saheh bukhari:-6294
Sunan Ibne Maja :-3770.

Agar ham log apni Zindagi ko kitab o sunnat  ke bataye tareeke se guzaarein to duniya o akhirat ki pareshaniyo se nijat pa lenge.

Wama Alaina illal balagh

Wallahu Alam.......






Danish Ansari