Sab se bada gunah shirk hai

اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه

Sab se bada gunah shirk hai !!

ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

Ibn Mas'ood r.a kehte Hain Maine rasoollullah ﷺ  se sawal kiya kon sa gunah sab se bada hai?Ap ﷺ  ne farmaya:- yeh ke tu Allah ke liye shareek banaye halanki us ne tujhe Paida Kiya,
Maine kaha phir kon sa?
Farmaya:- yeh ke tu apni Aulad ko qatl kare is darr se ke ye Tere sath khayega, Maine kaha phir kon sa?
Farmaya:-ye ke tu apne hamsaye (padosi) ki biwi ke saath baham badkari kare.

Saheh bukhari:-6861.

Fawaid:-

❶:- sab gunaho se bada gunah allahﷻ   ke sath kisi ko shareek karna hai insan ko ye bat zaib nahi deti ke apne Paida Karne wale  ke sath aise logo ko shareek aur barabar thehraye jinhone kuch bhi Paida nahi kiya,

Aur jaisa ke irshad e Bari ta'la hai :-

  khabardaar !
Bawajood janne ke Allah ke shareek muqarrar na Karo.

Surah Al baqarah:-22.

Allah ke saath kisi ko shareek Karna ye Allah ki ghairat ko challenge hai aur itnaa bada gunah hai ke dusre gunah agar Allah chahe to bakhsh de lekin shirk Karne wale ko kabhi muaaf nahi karega.
Jaisa ke irshad hai:-

Yakeenan allahﷻ   apne sath shareek karne wale ko nahi bakshta Baki jise chahe baksh de.

Surah al nissa:-48.

Aur ye itna bada gunah hai ke agar ambiya bhi agar ye Kar bethein to un ke bhi Tamam amaal barbaad ho jayein,isiliye Tamam ambiya (AS) tauheed ki hi da'wat dete the,

Aur yakeenan wahiy ki gayi ap ke taraf aur un logo ki taraf Jo ap se pehle the ke agar tune shirk Kiya to zaroor hi Tere amaal zaya ho jayega aur tu khasara pane walo me se ho jayega.

Surah Al zumr:-39.

❷:- shirk ke baad qatl e nahaq (kisi masoom ko qatl Kar Dena) is ke baad  zina kabeerah gunah hai allahﷻ   ne farmaya:-

Aur wo log Jo Allah ke ilawa kisi dusre ma'bood ko nahi pukarte aur na hi us jaan ko qatl karte hain jise Allah ne Haram Kiya hai magar haq ke saath, aur na zina karte hain.

Surah Al furqan:-25.

Qatl e nahaq us waqt kabahat me Kai guna badh jata hai jab jab koi shakhs apne hi bachhe ko is khatre se qatl Kar de ke wo is ke sath khayega aur Allah ke waade par bhi yaqeen na kare.

Jaisa ke irshad e Bari ta'la hai:-

Aur apni Aulad ko fakeeri ke darr se qatl mat Karo ham unhe aur tumhe rizk dete Hain.

1 qatl nahaq dusra apne lakht e jigar ka qatl aur qata reham, teesra Allah ka waade ki takzeeb aur is par badzani.

Surah bani israeel:-31.

❸:- zina ke mutallik allahﷻ  ne farmaya:- aur zina ke kareeb mat jao yakeenan wo behayai hai aur bura Rasta hai.

Zina ki kabahat us waqt bohut badh jati hai jab koi shakhs Apne hamsaye (padosi) ki biwi se zina kare kyunki padosi ka haq to ye hai ke us ke sath ahsan kiya Jaye uski jaan maal o abroo ki hifazat ki Jaye lekin is ke bar aks jab hamsaye hi hamsaye ki izzat barbad kare us ki biwi ko khawand ke khilaf apni taraf maail kare us ka Ghar ujadne ki koshish kare to ye zina ke saath Kai jaraim mil Jane ki wajah se bohut bada gunah ban jata hai,

 ❹:- Qur'an me lafz (ان تراني)se Murad musharkat hoti hai Yani padosi ki biwi bhi us gunah me shareek ho us ki razamandi se tum ye gunah Karo is me mazeed kabahat is liye hai ke jab wo kisi gair ke sath apni razamandi ke saath burai karegi to shauhar se us ki wafa khatm ho jayegi jis ka nateeja ye hoga ke us ka Ghar ujad jayega.

❺:- Qur'an me (حليلة جارك) padosi ki biwi ko (حليلة) is liye kehte hain ke wo apne khawand ke liye halal hoti hai maqsad ye ahsas dilana hai ke wo apne khawand ke liye halal hai tumhare liye nahi !

Wallahu Alam.


Allahﷻ  se dua hai ke wo hame in tamam fitno se bachaye aur hame saheh tauheed par Amal Karne ki taufeek ata farmaye.

ameen

Wama Alaina illal balagh




Danish Ansari

Post a Comment

0 Comments