Riyazul jannah

اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه

Riyazul jannah ❤

ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

Riyazul jannah  ye wo Mubarak jagah hai Jo nabi Kareem ﷺ ke Ghar Mubarak ya'ni hujra e Aisha r.a se mimbar e rasool ﷺ  ke darmiyan me hai,

Is ka name riyazul jannah hai jannat ka bagicha (garden of heaven).

Ye name is liye hai hai ke ahadees e Mubarka me nabi ﷺ ne irshad farmaya:-    mere mimbar aur mere Ghar ke darmiyan wali jagah jannat ke bago (garden) me se 1 baag hai.

Saheh bukhari:-1196.

Riyazul jannah me sahaba ka Amal:-

Yazeed bin Abu ubaid bayan karte Hain ke me Salma bin aku' r.a ke sath ata aur wo mushaf wale sutoon (pillar) ke paas ya'ni roza Shareef  me namaz Ada karte, to Maine kaha aye Abu Muslim, me dekhta hun ke AP is sutoon (pillar) ke paas zaroor namaz Ada karte hain! To wo farmane lage:- Maine rasoollullah ﷺ ko dekha ke AP bhi yahan khaas Kar namaz Ada Kiya karte the.

Saheh bukhari:-502.

Aur is mukaam par bethna ya ibadat karna AP se taqaaza Karta hai ke apne andar taqwa Paida karein, agar ap ko riyazul jannah ane ki sa'dat mile magar magar amaal me sunnat ki pairvi nahi balki bid'at aur niyat me ikhlaas nahi balki riyakari hai to ap ko faida nahi pahuchega!
1 aham bat ye bhi are karni hai ke Jo log yahan par ghanto bethe rehte Hain aur dusro ko yahan ane ka mauka nahi dete wo bhi galat karte Hain, aur un ki bhi galti hai Jo bheed (rush) dekh Kar bhi  zaeefo aur kamzoro ko takleef  pahuchakar andar dakhil hote Hain,

Allahﷻ   hamare haal par reham farmaye aur is muqaddas jagah riyazul jannah me ibadat Karne aur kuch der rehne ki taufeek ata farmaye ameen.

Danish Ansari

Post a Comment

0 Comments