Islam me aurat on ke liye 1 hi shadi ka hukm kyun hai science ki roshni me

اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه

Aurat ke liye 1 hi shadi ka hukm kyun kyun hai science ki roshni me :-

ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

Qur'ani maujzaat ki 1 jhalak - 1 mahir (gynaecologist) yahoodi Jo yahoodi  alim bhi the khule taur par kehte Hain ke:-  roo e zameen par Muslim khatoon se zyada pak o saaf aurat kisi bhi Maszhab ki nahi,

Poora waqiya Yun hai ke Albert  institute se farigh 1 gynaecologist yahoodi alim to Robert ghelhum ne apne qubool e Islam ka ailan kiya jis ka wahid sabab bana Qur'an me mazkoor talaq shuda ki iddat ke hukm se waqfiyat aur iddat ke liye 3 maheene ke waqt ke peeche ke scientific fact, jaisa ke irshad e Bari ta'la hai:-

Mutalliqa  (talakshuda) apne ko 3 haiz (periods) Tak roke rakhe.

Surah Al baqarah:-228.

Is ayat ne 1 hairat angez jadeed ilm DNA ka tareeka nikala aur ye pata Chala ke mard ke Mani(sperm) me protein dusre mard ke mukable 62% mukhtalif hua karte Hain aur aurrat ka jism 1 computer ki tarah hai jab koi mard hakbistri Karta hai to aurat ka jism mard ke tamam becteria apne andar le leta hai  isliye agar talaq ke fauran baad agar aurat kisi dusre mard se shadi Kar le ya 1 hi waqt me Kai Mardo se jismani tallukat Kayam Kar le to us ke badan me Kai DNA jama ho jate hain Jo khatarnaak virus ki shakal ikhtiyar Kar lete Hain aur jism ke andar jaanleva beemariyan Paida hone ka sabab bante Hain,

Science ne pata lagaya ke talaq ke baad 1 haiz guzarne se 32 se 35% protein khatm ho jate Hain aur dusra haiz ane se 67 se 72% Tak admi ka DNA khatm ho jata hai aur teesre haiz me 99.9% ka khatma ho jata hai aur phir reham(pait) us DNA se paak ho jata hai aur bagair kisi side effect wa nuksan ke naye DNA ko kubool Karne ke liye tayyar ho jata hai,

1 tawaif Kai logo se tallukat banati hai jis ke sabab us ke reham me mukhtalif Mardo ki mani Chali jati hai jis ki wajah se jism me mukhtalif DNA jama ho jate Hain jis ki wajah se wo bohut so beemariyon ki shikar ban jati hai,

Aur rahi bat jis ka shauhar faut ho jaye us ki to us ki iddat talaqshuda se zyada hai kyunki gham  ki wajah se wo DNA jaldi khatm nahi hota aur ise khatm hone ke liye zyada waqt chahiye aur isko hi Nazar me rakhkar 4 maheene 10 din ki iddat rakhi gayi hai farman e ilahi hai:-   aur Tum me se jis ki wafat ho Jaye aur wo aur us ki biwiyan ho to unhe chahiye ke wo apne AP ki 4 maheene 10 din roke rakhein.

Surah Al baqarah:- 234.

Is hakeekat se raah pakar 1 mahir doctor ne America ke do mukhtalif muhallo me tehqeeq Kiya 1 muhalla jahan African Muslims rehte Hain wahan ki tamam aurton ke janeen me sirf 1 hi shauhar ka DNA paya gaya,

Jabki dusra muhalla jahan asal American Azad aurte rehti Hain un ke janeen me 1 se zaaid 2 ya 3 Tak ke DNA paye gaye,

Jab doctor ne khud apni biwi ka khoon taste Kiya to chaunka dene wali hakeekat samne ayi le us ki biwi me 3 alag alah logo ke DNA paye gaye jis ka matlab ye tha ke usmki biwi use dhokha de rahi thi aur ye ke us ke us ke 3 bachho me se sirf 1 hi us ka bachha hai,

Is ke baad doctor poori tarah mutmain ho gaya ke sirf Islam hi wo deen hai jo aurton ki hifazat auruashre  ki buraiyo se hifazat ki zamanat deta hai aur is baat ki bhi ke Muslim aurtein duniya ki sab se paak o saaf aur paak Daman aurte Hain,


Aur ab ham ko ye ye sab padhne aur sunne ke baad apne rab ka shukr Ada karna chahiye jis ne hame Muslim banaya

Aur tum apne rab ki kin kin nishaniyon ko jhuthlaoge ?

Surah Rehman.

Wallahu Alam





Danish Ansari

Post a Comment

0 Comments