Mehnat,mazdoori aur is ke adaab


  


اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه





Rasoollullah ﷺ ne farmaya:- kisi shakhs ne apne hath ki kamai se paak aur behtar khana nahin khaya.

Saheh bukhari:-2072.

Fawaid:-  Maishat (Economy) Ke Bunyadi 3 Zaraye hain, Zara'at (Agriculture) Tijarat (Commerce) Sanat o Harfat (Trade) Jo Kamai Insaan Ke Hath Se Hasil Ho use mazkoora hadees me behtar aur pakeeza kaha gaya hai:-  hazrat dawood (AS)bhi apne haath se hi khate the.

Saheh bukhari:-2073.

Khud rasoollullah ﷺ bhi ailaan e nabuwwat se pehle kuch paiso ke aiwaz bakriyan(goat)charaya karte the.

Saheh bukhari:-2262.

1 martaba nabi Kareem ﷺ se sawal hua ke kon si kamai paak o behtar hai to ap ﷺ  ne farmaya:- admi ka apne haath se koi Kaam karna aur aur har tijarat Jo imandari se ho.

Musnad Ahmed:-jild4 safa 141.

Matlab ye hai ke sab se achhi kamai to wo hai Jo khud apne haath, baazu aur mehnat se ho, aur us tijarat ki kamai bhi pakeeza hai  Jo shariyat ke mutabik aur diyanatdari ke sath ho, mehnat mazdoori karna bhi haath ki kamai hai, aur mazdoor ko us ki ujrat Dena Islami talimaat ka aham hissa hai, jaisa ke hadees e Mubarka me hai, rasoollullah ﷺ ne farmaya :-
Mazdoor ke paseena khushk hone se pehle pehle us ki ujrat de do.

Sunan ibne Maja:-2443.

Agar koi admi mazdoor ko ujrat nahi deta to rasoollullah ﷺ qayamat ke din us khilaf honge aur jis ki shikayat rasoollullah ﷺ Kar den to fir us ki sifarish kon karega?
Hadees ke alfaz kuch Yun hai:-
Aisa admi jis ne kisi ko mazdoor bana Kar rakha aur us se poora kaam liya lekin use poori mazdoori nahi di (to me qayamat ke din us ke mukhtalif hounga).

Saheh bukhari:-2227.


Wallahu Alam...........


Allah se dua hai ke wo hame rizk e halal kamane aur rizk e Haram se door rehne ki taufeek ata farmaye ameen.

Wama Alaina illal balagh.


Danish Ansari

Post a Comment

0 Comments