Tauheed aur shirk me fark !

    السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
      ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ


Admi ko maujooda duniya me zinda rehne ke liye 1 sahara darkaar haihar insan kisi na kisi burai me jeeta hai, mo'min wo hai jo khuda ki badhaai me jiye aur ghair e mo'min (mushrik)wo hai jo khuda ke siwa dusri badhaaiyo me jeeta hai,

Qadeem (purane) zamane ka mushrik suraj o chand ki badhaai me jeeta tha, maujooda zamane ka
Maujooda zamane ka madda parast insan maddi quwwaton ki badhaiyon me jeeta hai kuch log daulat ko bada bata kar us ko apni talash ka jawab banaye hue hain,kuch log insani akabir ki badhaai me magan rehte hain aur is tarah apne fitri jazbe ki taskeen haasil karte hain,

Ye tamam ki tamam shirk ki soortein hain, yeh 1 haqeeqi talash ka masnooi jawab hai, mo'min wo hai jo fitrat ki talash ke sachhe jawab ko paa le, jo zahiri cheezon me na atke balki zahiri aur numaishi cheezon se guzar kar akhiri hakeekat tak pahuch jaye, 

Mo'min insan jab in cheezon ko dekhta hai to wo in ki zahiri chamak se dhokha nahi khata, ye tamam cheezein use makhlook nazar ati hain wo ise is mukaam  ujz par dikhayi dete hain jahan wo khud khada hua hai mo'min in cheezon me se kisi cheez par nahi theherta us ka safar jaari rehta hai yahan tak ki wo hakeeki khuda tak pahuch jata hai wo makhlooqat se guzar kar khaliq ko pa leta hai,

Mo'min wo hai jo apni tamam cheezon ko khuda ke atiya samjhe jo apne ujz ki talafi khuda se kare jis ko zameen ke hann me khuda ki takhleeq dikhayi de jis ko Kainaat ki azmat me khuda ki azmat dikhayi de,
Jo tamam badhaaiyo ko khuda ki badhaaiyo ka aks samajhta ho jo khuda ke jalwo me is tarah gum ho jaye ke us ki hakd khwaani us ke liye lazeez tareen mashghula ban jaye,

Imaan ka matlab darasal hazir me ghaaib ko dekhna hai jo kuch samne hai us me chupi hui cheezon ko dekh lena hai Jo samne nahi hain, jis ko ye nazar hasil ho jaye us ko apne charo taraf sirf khuda ki hi badhaai dikhayi deti hai wo sirf allah rabbul izzat ko hi apna sab kuch bana leta hai, wo khuda ki badhaai me is tarah gum ho jata hai ke us ko na apni badhaai nazar ati hai na dusro ki.

Danish ansari

Post a Comment

0 Comments