Allahﷻ kis se muhabbat karta hai ?

Assalamualaikum wa Rahmatullah WA barkathu



Bismillah hirrahmaan nirraheem



Allahﷻ kis se muhabbat karta hai ?


Al jawab:-

Sa'ad Bin Waqas r.a bayan karte hain maine Rasulullah ﷺ ko farmate hue suna :- yakeenan allahﷻ   us bande se muhabbat karta hai jo parhezgar ghani ho aur chupa hua ho.

Saheh muslim:-7432.

Fawaid:-

❶ sa'ad Bin Waqas r.a ashra mubashra sahaba me se hain aur badri sahabi hain jang e qadsiya ke ameer aur faateh Iran hain jab musalmano ki bahmi ladaiyan shuru hui to ye gosha nasheen ho gaye(chip gaye) saheh muslim me hai ke in ke ayyam me in ka beta umro bin sa'ad in ke paas aya to ap r.a ise dekhte hi kehne lage :- me is sawar ke sharr e allah ki panah chahta hun jab
Wo Kareeb aya to kehne laga ke ap ne apne in bhed bakriyon me dera Bana Rakha hai Aur logo ko is haal me chorh rakha hai ke wo hukumat ke liye apas me lad jhagad rahe hain to sa'ad r.a ne us ke seene par haath maar kar kaha khamosh ho ja maine rasoolullah ﷺ se suna hai ke yaqeenan allahﷻ  us bande se muhabbat karta hai jo parhezgar,chupa hua aur ghani ho.

Saheh muslim:-7432.

 ❷ is Hadees se maloom hota hai ke muhabbat allahﷻ  ki sifaat me se 1 sift hai  ba'az log isnki taweel karte hain ke allah ki muhabbat se murad hai ke wo bande se bhalai ka irada karta hai, ise hidayat deta hai is par Rehmat karta hai aur allah ke bughz aur dushmani se murad in cheezon ke ulat hai ghauya in hazraat ke nazdeek na to allah muhabbat kar sakta hai na adawat,isi liye unhone ye taweel ki, magar in hazraat ki bat durust nahi Qur'an me beshumar jagah allahﷻ  ki sift e muhabbat aur sift e adawat bayan farmayi gayi hai:-

فَإِنَّ اللَّـهَ عَدُوٌّ لِّلْكَافِرِينَ
Aise logo ka dushman khud allah hai.

Surah al baqarah:-98.

اِنَّ اللّٰہَ یُحِبُّ الۡمُحۡسِنِیۡنَ ﴿۱۹۵﴾

Allah ahsan karne wale ko dost rakhta hai.

Surah al baqarah:-195.

فَاتَّبِعُوۡنِیۡ یُحۡبِبۡکُمُ اللّٰہُ

Khud allahﷻ tum se muhabbat karega.

Surah aal e imran:-31.

Har shakhs janta hai muhabbat aur adawat kiya hoti hai,

ᴍᴜʜᴀʙʙᴀᴛ ka ma'ani irada khair ya hidayat ya Rehmat hargiz nahi hota balki ye balki ye sifaat apni jagah mustaqil sifaat hai, un hazraat ko ye taweel karne ki zarurat is liye padi ke unohone allah ki muhabbat ko insani muhabbat ki tarah samjha jo ba'az auqat insani kamzori hoti hai,

Isi tarah in logo ne kaha ke allahﷻ  Samee au baseer bhi nahi balki Samee aur baseer ka matlab hai ke, wo ilm rakhta hai halanki sab jante hain ke ilm alag cheez hai aur dekhna aur sunna alag cheezein.

Haqeeqat ye hai ke allahﷻ ki ye sift aur dusri tamam sifaat kisi makhlooq ke mushabe nahi balki is tarah hain jis tarah is ki shaan ke layek hai!
Agar ye log is bat ko samne rakhte to kabhi sifaat ka inkar ya in ki taweel na karte,
Allahﷻ  ne farmaya:-

Us (allah) ki misl koi shay nahi wo Samee au baseer hai.

Surah al shoora:-11.

Matlab ye ke kahi ye soch kar allah ki sift aamer aur baseer ka inkar na kar bethna ke insan bhi samee aur baseer hai agar allah ki samee aur baseer maan Liya to wo makhlooq ke mushabe ho jayega, farmaya allah ki misl koi shay nahi wo samee au baseer hai.
Ya'ni allahﷻ  ka dekhna aur sunna makhlooqat ke mushabe nahi hai !

Is liye Wo muhabbat bhi karta hai aur adawat bhi rakhta hai magar aisi jo ke makhlooq ke mushabe nahi hai, ghaur farmaiye aisa parwardigar kis kaam ka jo na sunta ho na dekhta, na apne dosto se muhabbat karta ho na apne dushmano se adawat karta ho ?

❸ attaqi(اَلتَّقِي) parhezgar jo allah aur us ke rasool ke ahkam par amal karne wala aur un ki mana ki hui cheezon se door rehne wala ho.

❹ al Ghani(الغَنيّ) daulat mand be parwah ya'ni use allah par itna aitmad hai ke wo makhlooq se beniyaz hai, rasulallah ﷺ  ne farmaya:- daulatmandi duniya ka saaz o saman zyada hone se nahi balki asal daulatmandi (makhlooq se) ghani hona hai.

Saheh Al Bukhari:-6446.

❺ al Ghani (الغَنيّ)  me ye bat bhi shamil hai ke wo hath ki kamai se zarurat ka saman muhaiyya rakhta hai taki use makhlooq ka mohtaj na hona pade,

Jaisa ke sa'ad r.  Ount aur bhed palne me mashghool rehte the.

❻ al khafi'y (اَلْخَفِيَّ) chupa hua name aur shauhrat se bach kar allahﷻ  ki ibadat me mashghool kyunki shauhrat apne sath kai afat bhi lati hai maslan riyakari,fitno me shamuliyat, allah ki bandgi ke liye waqt na bachna, jabki gumnami me bande ko ibadat ke liye khula waqt mil jata hai is ka dil hamesha allahﷻ  yaad me laga rehta hai Wo fitno se aur riyakari se door rehta hai is ka har kaam allahﷻ  hi poore karta hai.

Wallahu Alam.

Allah hame deen ki saheh samajh ata farmaye ameen.


Danish ansari

Post a Comment

0 Comments