ilaj ke liye, aur kya hone wala hai ye janne ke liye haath dikhana



Sawaal: assalamualaikum wa Rahmatullah WA barkathu Kya kisi 'aamil ko hath dikha kar ismat ka haal janna ya us se apna 'ilaaj karwana durust hai? Quran o Sunnat ki roshni me wazahat farma dein.

Jawaab: Aise log jo Professor ke board laga kar "Jo Chaho So Poochho" ya "Har kism Ki Muraad Poori Hogi" ke daa'we karte hain, unse 'ilaaj karwane aur un se kismat ka haal daryaft karne ke liye haath dikhana bilkul najaiz hai !
Aise Najoomiyo aur Kaahino ke Mut'alluq Rasoolullah ﷺ ne farmaya hai:-

من اتي عرافا فساله عن شيء لم تقبل له صلاة اربعين ليلة

"Jo Shakhs kisi khabrein batane waale (Najoomi) ya Kaahin) ke paas aaya aur us se kuch poochha: to uski 40 roz ki namaaz Qubool nahi hogi" 

Muslim, Kitab-Ul-Salam, Baab Tehreem-Ul-Kaahinah: 2230, Musnad Ahmed: 380/5, 28/3

Ek doosri Hadees me hai:

من اتي كاهنا فصدقه بما يقول فقد كفر بما انزل علي محمد صلي الله عليه وسلم

"Jo shakhs kisi Kaahin ke paas aaya aur us ke aqwaal ki tasdeeq ki to us ne is baat ka kufr kiya jo Muhammad ﷺ Par naazil kiha gaya hai
Abu Dawood, Kitab-Ul-Kaahinah Wa Al-Tateer, Baab Fee Al-Kaahin: 390/4, Tirmizi: 135, Ibn-E-Majah 639.

In Sahih Ahadees se maa'lum hua ke Kaahino, Najoomiyo, Naam Nihad Jaa'li Professoro aur logo ki qismato ke daa'we karne waale 'aalimo ke paas Jaana Haraam hai aur un ke daa'wo ki tasdeeq karna Shari'at-E-Muhammadi Se kufr hai !
lihaza aise Kaamo se kulli taur par ijtenaab karna chahiye aur doosro ko bhi is se bachane ki koshish Karni Chahiye.


Wallahu Alam......


Allah se dua hai wo hame is tarah ki tamam khurafat se bachaye ameen.


Danish ansari

Post a Comment

0 Comments