sadqa e fitr paiso ki surat me ada karna kaisa

Assalamualaikum wa Rahmatullah WA barkathu
Bismillah hirrahman nirraheem


Sawal: Kya Sadqatul Fitr  anaaj  Ke Bajaye Qeemat Mein De sakte Hain? 

Al-Jawab: Sayyadna Abu Sa'eed Al-Khudri Razi Allahu 'Anhu Ki Bayan Karda Ek Hadees Ka Khulasa Yeh Hai Ke Hum Rasoolullahﷺ Ke Zamane Me Khane (Galle) Jau Ya Khajoor Mein Ek Saa (3 kilograms ke kareeb) Bataur-E-Sadqa-Fitr Nikalte The, Phir Jab Mu'awiya (Bin Abi-Sufiyan Razi Allahu 'Anhu) Madeene Aaye To Unhone Ne Kaha: Mera Khayal Hai Ke Shami Gandum Ke Do Mad (Aadha Saa) Khajoor Ke Ek Saa Ke Barabar Hain, To Logo Ne Use Ikhtiyar Kar liya.

Abu Sa'eed (Khudri Razi Allahu 'Anhu) Ne Farmaya: Mai To Isi Tarah Ek Saa Nikalta Rahunga. 

Sahih Bukhari: 1505-1506, 1508, Sahih Muslim: 985, Sunnan Tirmizi: 673. 


Is Hadees Se Yahi Ma'lum Hota Hai Ke Sadqa-E-Fitr Ajnas Se Ek Saa Nikalna Chahiye. Imam Shafa'i, Imam Ahmed Aur Imam Ishaq Bin Rahawaye rh  ajmaeen Ka Yahi Qaul Hai. 

Ba'az Ahl-E-ilm Maslan: Sufiyan Soori Aur Imam 'Abdullah Bin Al-Mubarak rh Ne Ijtehad Karte Huye Nisf Saa (3 kilograms ke kareeb) Gandum Ka Qaul Ikhtiyar Kiya Hai. 


Imam Ahmed Bin Hanbal rh Sadqa-E-Fitr Ki Qeemat Nikalna Na Pasand Farmate The:-
Mujhe Darr Hai Ke Agar Koi Shakhs Qeemat Dega To Us Ka Sadqa-E-Fitr Hi Jaiz Nahi Hoga. 

Masail 'Abdullah Bin Ahmed Bin Hanbal: 809.

Jabke Doosri Taraf Khalifa 'Umar Bin 'Abdul 'Aziz Al-umwi Rahimahullah Ne Basre Me 'Adi Ki Taraf Likh Kar Bheja Ke Har Insan Se Aadha Dirham Liya Jaye. 

Musannif Ibn-E-Abi-Shaybah 174/3 H. 10358.

Qurrah Bin Khalid Al-Sadusi Ke Paas 'Umar Bin 'Abdul 'Aziz Ki Taraf se Isi Mafhoom Ki Kitab (Tehreer) Pohonchi Thi.

Aizan H. 10369, Wa Sanadah Sahih.

Zuhair Bin Mu'awiya Ki Riwayat Hai Ke Abu Ishaq Al-Sabee'i Rahimahullah (Taba'i) Ne Farmaya: Maine Fitrana-E-Ramadan Mein Logo Ko Khane Ki Qeemat Adaa Karte Huye Paya Hai. 

Aizan H. 10371.

In Aasaar Ki Roo Se Sadqa-E-Fitr Mein Naqdi (Rupaye Waghairah) Dena Jaiz Hai Aur Yeh Jawaz Bhi Sirf Un Logo Se Khaas Samajhna Chahiye Jo Europe (Maslan Bartania Britain) Aur America Wagaira Mein Rehte Hain, Taake Ghareeb Mumalik (Maslan Pakistan, Hindustan) Mein Unke Miskeen Rishtedaaro Ke Sath Ta'wwun Aur Ta'mat-Ul-Masakeen Ho jaye, Warna Behtar Yahi Hai Ke Ajnas Maslan Gandum, Aataa Aur Khajoor Waghairah Se Sadqa-E-Fitr Adaa Kiya Jaye, Aur Pakistan Me Humara Isi Par 'Amal Hai. 

❀ Naqdi Ki Surat Ke Sadqa Fitr Adaa Karna ❀

Sawal: Kya Sadqa-E-Fitr Jans Ke Alawa Raqam Ki Surat Mein Dena Jaiz Hai? Kitab O Sunnat Ki Roshni Mein Wazahat Farmayein. 

Al-Jawab:

Ameer-Ul-Momineen' Umar Bin 'Abdul 'Aziz Rahimahullah Aur Hasan Basri Rahimahullah Se Marwi Hai Ke Woh anaj Ke Alawa Naqdi Se Bhi Sadqa-E-Fitr Ke Jawaaz Ke Qail The.

 Musannif Ibn-E-Abi-Shaybah 174/3 H. 10364.

Taaham Yeh Haqeeqat Hai Ke Ek Sahabi Razi Allahu 'Anhu Se Bhi Qat'an Yeh Sabit Nahi Ke Us Ne Naqdi Se Sadqa-E-Fitr Adaa Kiya Ho Ya Us Ki Ijazat Di Ho. 

Masail 'Abdullah Bin Ahmed Bin Hanbal (809) Mein Likha Hua Hai Ke "Maine Apne Waalid (Imam Ahmed Bin Hanbal Rahmatullah) Se Suna Aap Sadqa-E-Fitr Ki Qeemat Nikalna Makrooh Samjhate The Aur Farmate: "Mujhe Yeh Darr Hai Ke Agar Koi Shakhs Qeemat De Ga To Us Ka Sadqa-E-Fitr Hi Jaiz Nahi Hoga" . 

Imam Ahmed Rahmatullah Se Kaha Gaya Ke "Log Kehte Hain Ke Mai 'Umar Bin 'Abdul 'Aziz Rahimahullah Sadqa-E-Fitr Mein Qeemat Qabool Kar lete The" To Unhone Kaha "Rasoolullahﷺ Ka Qaul Chhorh Dete Hain Aur Kehte Hain Fulaa Yeh Kehta Hai!" 



Al-Sunan Wal-Mubtad'aat, Page 206 Wa-Maghni Ibn-E-Qadamah 65/3.

Lihaza Raajeh Yahi Hai Ke Ajnas Maslan Gandum Waghairah Se Hi Se Sadqa-E-Fitr Adaa Kiya Jaye. 

Imam Malik Rahmatullah Wa Shafa'i Rahmatullah Ka Bhi Yahi Qaul Hai.

Bataor-E-Faydah 'Arz Hai Ke Khalifa 'Umar Bin 'Abdul 'Aziz Rahimahullah Ne Basrah Mein 'Adi Ki Taraf (Khat) Likh Kar Bheja Ke Har Insan Se Aadha Dirham Liya Jaye. 

Musannif Ibn-E-Abi-Shaybah 74/3 H. 10358.

Qarah (Bin Khalid Al-Sadusi) Ne Kaha: Humare Paas 'Umar Bin 'Abdul 'Aziz Ka Noshta (Hukm) Pohoncha Ke Sadqa-E-Fitr Mein Har Insan Ki Taraf Dr Aadha Saa Ya Us Ki Qeemat Aadha Dirham Lo. 
(Musannif Ibn-E-Abi-Shaybah H. 10369, Wa Sanadah Sahih) 

In Aasaar Ki Wajah Se Sadqa-E-Fitr Mein (Raqam) Rupaye Waghairah Dena Jaiz Hai Taahum Behtar Yahi Hai Ke Ajnas Maslan Gandum, Aata Aur Khajoor Waghairah Se Sadqa-E-Fitr Adaa Kiya Jaye. 

Wallahu A'alam........ 


Post a Comment

0 Comments