kibla e awwal Kaaba ya baitul muqaddas

 Assalamualaikum wa Rahmatullah WA barkathu

Bismillah hirrahman nirraheem

Quran Majeed Mein Allah Ta'ala Ka Irshad Hai: 

اِنَّ اَوَّلَ بَيۡتٍ وُّضِعَ لِلنَّاسِ لَـلَّذِىۡ بِبَكَّةَ مُبٰرَكًا وَّهُدًى لِّلۡعٰلَمِيۡنَ‌‌ۚ

Surah Al-Imran:-96.

"Bilashuba Sab Se Pehla Ghar ('Ibadat Gaah) Jo Logo Ke Liye Ta'meer Kiya Gaya Wahi Hai Jo Makkah Mein Waaqaye Hai, Is Ghar Ko Barkat Di Gayi Aur Tamaam Jahaan Waalo Keliye Markaz Hidayat Banaya Gaya"

'Allama 'Abdul Rahman Kilani Rahimahullah "Tafseer Taiseer-Ul-Quran Mein Is Ayat Mubaraka Ki Tafseer Mein Likhte Hain:-

Tashreeh:

Yeh Yahood Ke Ek Doosre Ai'traaz Ka Jawaab Hai, Un Ka Ai'traaz Yeh Tha Ke Tamaam Ambiya ('Alayhi Salaam) Ka Qibla Baitul Muqaddas Hi Raha Hai Aur Tamaam Ambiya Ne Wahan Hijrat Ki. Lihaza Yeh Muqam-E-Ka'ba Se Afzal Hai Ab Musalmano Ne Baitul Muqaddas Ke Bajaye Ka'ba Ko Apna Qibla Banaya Hai To Yeh Millat Ibrahimi Se Rogardani Ki Hai.

Is Ai'traaz Ka Jawab Allah Ta'ala Ne Diya Hai Ke Logo Ki 'Ibadat Keliye Sabse Pehle Jo Ghar Ta'meer Hua, Woh Baitullah Tha, Baitul Muqaddas Nahi Tha, Kyunke Baitullah Hi Woh Ghar Hai Jise Hazrat Ibrahim ('Alayhi Salaam) Ne Allah Ta'ala Hi Ki 'Ibadat Ke liye Logo Ko Marje Ki Haysiyat Se Ta'meer Kiya Tha Aur Baitul Muqaddas Ko To Hazrat Sulaiman ('Alayhi Salaam) Ne Hazrat Musa ('Alayhi Salaam) Ki Wafaat Ke 400 Saal Baad Ta'meer Kiya Tha Aur Hazrat Sulaiman ('Alayhi Salaam) Hi Ke 'Ehed Mein Yeh Qibla Ahle Tawheed Ke liye Banaya Gaya Tha, Lihaza Qibla Awwal To Darasal Ka'ba Hi Hai, Tehweel Qibla Par Yahood Ke Ai'traaz Ka Jawaab Surah Al-Baqarah (Ayat 142-150) Mein Pehle Bhi Guzar Chuka Hai, Magar Yahood Choonke Apne Is Ai'traaz Ko Us Ke Baad Bhi Baar Baar Dohrate Rahe, Lihaza Phir Se Un Ke Ai'traaz Ka Tareekhi Pehlu Se Bhi Jawab Diya Gaya Hai.

Tafseer Taiseer-Ul-Quran
____________________________
Aur 'Allama Ibn-E-Kaseer Rahimahullah 'Alayhi
Apni Tafseer Mein Farmate Hain

وَقَدْ قَالَ الْإِمَامُ أَحْمَدُ: حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، عَنِ الْأَعْمَشِ، عَنْ إِبْرَاهِيمَ التَّيْميّ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي ذَر، رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، قَالَ قلتُ: يَا رسولَ اللَّهِ، أيُّ مَسجِد وُضِع فِي الْأَرْضِ أوَّلُ؟ قَالَ: "الْمسْجِدُ الْحَرَامُ". قُلْتُ: ثُمَّ أَيُّ؟ قَالَ: "الْمسجِدُ الأقْصَى". قُلْتُ: كَمْ بَيْنَهُمَا؟ قَالَ: "أرْبَعُونَ سَنَةً". قلتُ: ثُمَّ أَيُّ؟ قَالَ: ثُم حَيْثُ أدْرَكْت (3) الصَلاةَ فَصَلِّ، فَكُلُّهَا مَسْجِدٌ".

Sayyadna Abu Zar Razi Allahu 'Anhu Ne Rasoolullahﷺ Se Poocha Ke Sabse Pehle Kaunsi Masjid Banayi Gayi Hai?
Aap Ne Farmaya Masjid Al-Haram, Poocha Phir Kaunsi?
Farmaya Masjid Baitul Muqaddas, 
Poocha In Dono Ke Darmiyaan Kitna Waqt Hai? Farmaya 40 Saal 
Poocha Phir Kaunsi? 
Aapne Farmaya Jahaa Kahee Namaz Ka Waqt Aajaye Namaz Parh Liya Karo Saari Zameen Masjid Hai. !
(Musnad Ahmad Wa Bukhari Muslim)-(Sahih Al-Bukhari: 3366)

وَقَالَ ابْنُ أَبِي حَاتِمٍ: حَدَّثَنَا الْحَسَنُ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ الصَّبَّاحِ، حَدَّثَنَا سَعِيدُ بْنُ سُلَيْمَانَ، حَدَّثَنَا شَرِيك عَنْ مُجالد، عَنِ الشَّعْبيّ عَنْ علِيّ فِي قَوْلِهِ تَعَالَى: {إِنَّ أَوَّلَ بَيْتٍ وُضِعَ لِلنَّاسِ لَلَّذِي بِبَكَّةَ مُبَارَكًا} قَالَ: كَانَتِ الْبُيُوتُ قِبْلَةً، وَلَكِنَّهُ كَانَ أَوَّلَ بَيْتٍ وُضِعَ لِعِبَادَةِ اللَّهِ [تَعَالَى] (5)


Imam Abu Hatim razi rh Is ayat ki tafseer me farmtate hain :-

"Sayyadna 'Ali Razi 'Allahu 'Anhu Farmate Hain Ghar To Pehle Bohot Se The Lekin Khaas Allah Ta'ala Ki 'Ibadat Ka Ghar Sabse Pehla Yahi Hai, Kisi Shakhs Ne Aapse Poocha Ke Zameen Par Pehla Ghar Yahi Bana Hai? To Aap Ne Farmaya Nahi, Haa Barkato Aur Maqam-E-Ibrahim Aur Aman Waala Ghar Yahi Pehla Hai"

Aur Musnad Ahmad Mein Ek Hadees Shareef Hai Ke:

حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ عَاصِمٍ عَنْ حُصَيْنِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ عَنْ عُمَرَ بْنِ قَيْسٍ عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ الْأَشْعَثِ عَنْ عَائِشَةَ قَالَتْ:
( بَيْنَا أَنَا عِنْدَ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذْ اسْتَأْذَنَ رَجُلٌ مِنْ الْيَهُودِ فَأَذِنَ لَهُ فَقَالَ السَّامُ عَلَيْكَ فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَعَلَيْكَ قَالَتْ فَهَمَمْتُ أَنْ أَتَكَلَّمَ قَالَتْ ثُمَّ دَخَلَ الثَّانِيَةَ فَقَالَ مِثْلَ ذَلِكَ فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَعَلَيْكَ قَالَتْ ثُمَّ دَخَلَ الثَّالِثَةَ فَقَالَ السَّامُ عَلَيْكَ قَالَتْ فَقُلْتُ بَلْ السَّامُ عَلَيْكُمْ وَغَضَبُ اللَّهِ إِخْوَانَ الْقِرَدَةِ وَالْخَنَازِيرِ أَتُحَيُّونَ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بِمَا لَمْ يُحَيِّهِ بِهِ اللَّهُ قَالَتْ:
فَنَظَرَ إِلَيَّ فَقَالَ مَهْ إِنَّ اللَّهَ لَا يُحِبُّ الْفُحْشَ وَلَا التَّفَحُّشَ قَالُوا قَوْلًا فَرَدَدْنَاهُ عَلَيْهِمْ فَلَمْ يَضُرَّنَا شَيْءٌ وَلَزِمَهُمْ إِلَى يَوْمِ الْقِيَامَةِ إِنَّهُمْ لَا يَحْسُدُونَا عَلَى شَيْءٍ كَمَا يَحْسُدُونَا عَلَى يَوْمِ الْجُمُعَةِ الَّتِي هَدَانَا اللَّهُ لَهَا وَضَلُّوا عَنْهَا وَعَلَى الْقِبْلَةِ الَّتِي هَدَانَا اللَّهُ لَهَا وَضَلُّوا عَنْهَا وَعَلَى قَوْلِنَا خَلْفَ الْإِمَامِ آمِينَ )

Sahih Al-Albani., Walah Shawahid. :

Ummul Momineen Ammi 'Aaisha Razi Allahu Anha Se Marwi Hai Ke Ek Martaba Mai Nabiﷺ Ke Paas Baithi Hui Thi Ke Ek Yahoodi Aadmi Ne Andar Aane Ki Ijazat Chahi, Nabiﷺ Ne Usey Ijazat Dedi, Us Ne Aakar "Assalamu'Alaik" Kaha Nabiﷺ Ne Sirf "Wa'Alaik" Keh diya, Maine Kuch Bolna Chaha Lekin Ruk Gayi, Teen Martaba Woh Isi Tarah Aaya Aur Yahi Kehta Raha,
Aakhir Kaar Maine Keh Diya Ke Aye Bandaro Aur Khinzeero Ke Bhai! Tum Par Hi Maut Aur Allah Ka Ghazab Nazil Ho, Kya Tum Nabiﷺ Ko Is Andaz Mein Aadaab Karte Ho, Jis Mein Allah Ne Unhein Mukhatib Nahi Kiya, Is Par Nabiﷺ Ne Meri Taraf Dekh Kar Farmaya Ruk Jao, Allah Ta'ala Fahash Kalami Aur Behooda Goi Ko Pasand Nahi Farmata, Unhone Ek Baat Kahi, Hum Ne Unhein Is Ka Jawab De diya, Ab Humein To Koi Cheez Nuqsan Nahi Pohoncha Sakegi Albatta Un Ke Saath Qayamat Tak Ke liye Yeh Cheez Laazim Ho jayegi, Yeh Log Humari Kisi Cheez Par Itna Hasad Nahi Karte Jitna Jumu'a Ke Din Par Hasad Karte Hain Jis Ki Hidayat Allah Ne Humein Di Hai, Aur (Ka'ba Ko) Humara Qibla Banaye Jaane Par Bhi Humse Hasad Karte Hain Aur Yeh Log Us Se Gumrah Rahe, Isi Tarah Yeh Log Hum Se Imam Ke Peeche Aameen Kehne Par Hasad Karte Hain.

Aur 'Allama Luqman Salafi Tafseer Taiseer-Ul-Rahman Mein Likhe Hain:

Sahihain Mein Sayyadna Abu Zar (Razi Allahu 'Anhu) Ki Riwayat Hai, Maine Poocha Aye Allah Ke Rasoolﷺ! Ruye Zameen Par Kaunsi Masjid Banayi Gayi? To Aapﷺ Ne Farmaya: Masjid Haram, Maine Poocha, Phir Kaun? To Aap Ne Masjid Aqsa, Maine Poocha: Dono Ke Darmiyaan Kitni Middat Ka Faasla Tha? Aapﷺ Ne Kaha 40 Saal, 'Allama Ibn Al-Qayyim (Rahmatullah) Ne Likha Hai Ke Ibrahim ('Alayhi Salaam) Ne Khana Ka'ba Ko Banaya, Us Ke 40 Saal Ke Baad Ya'qoob Bin Ishaq ('Alayhima Al-Salaam) Ne Masjid Aqsa Ko Banaya.

Wallahu alam..........


Wama Alaina illal balagh.



ᴅᵃⁿⁱˢʰ ᵃⁿˢᵃʳⁱ

Post a Comment

0 Comments