kya khizr alaihissalam nabi the ?





Sawaal::- assalamualaikum
Kya Hazrat khizr  ‘Alayhi Salaam Nabi The Ya Wali Ya Farishta? “
Shari’at Wa Tareeqat Mein” Maulana Abdul Rahman Kilani Rahimahullah Ne Ghair Nabi Hone Ko iqrab AlAl-Haq karaar Diya Hai. Kya Unka Maoqquf Sahih Hai?

Bismillah hirrahman nirraheem

Al Jawab: Sayyadna khizr 'Alayhi Salaam Nabi Ke Baare Mein Raajeh Yeh Hai Ke Woh Nabi The.

Siqa Imam Abu Hayyan Muhammad Bin Yusuf Andusli Rh (Mutawaffah 745 H) Ne Farmaya:-

’والجمہور علٰی أن الخضر نبي …… والجمہور علٰی أنہ مات‘‘

Aur Jamhoor Is Par Hain Ke Khizar Nabi Hain..... Aur Jamhoor Is Par Hain Ke Woh Faut Hogaye. 


Tafseer Al-Bahr Al-Muheet, Jild 6 Page 139, Surah Al-Kahf 65)

Hafiz Ibn Hajar Asqalani Rahimahullah Ne Is Masle Par ek Kitab: "Al-Zahr Al-Nazar Fee Nabaa Al-Khizar" Likhi Hai.

 Dekhiye Majmu'a Al-Rasaail Al-Muneerah:-234-195 /2

Is Kitab Ke Aakhir Mein Hafiz Ibn Hajar Ne Likha Hai:

’’والذي لا یتوقف فیہ الجزم بنبوتہ‘‘

Aur Us (Khizar) Ki Nabuwwat Ke Iqrar Biljuzm Mein Tawaqquf Nahi Karna Chahiye. 

Page 234.

Khazar 'Alayhi Salaam Ke Nabi Hone Ke Kai Dalaail Hain Maslan:-

1. Un Ka Qaul (وَ مَا فَعَلْتُہٗ عَنْ اَمْرِیْ) Aur Maine Use Apni Marzi Se Nahi Kiya.

 Surah Al-Kahf: 82.

Ya'ni Unpar Wahiy Aati Thi. 

2. Irshad-E-Baari Ta'ala Hai Ke Hum Ne Use (Khizar Ko) Apni Taraf Se Rahmat Aur 'ilm 'Ataa Farmaya Tha.

  Surah Al-Kahf:-65.

3. Khizar 'Alayhi Salaam Ka (Na-Baligh) Bachche Ko Qatl Karna Aur Yeh Zahir Hai Ke ilham Ki Buniyad Par Qatl Jaiz Nahi Hai. 

4. Khizar Ne Kaha: Bani Israil Waale Musa? 

Sahih Bukhari: 4725, Sahih Muslim: 2380.

Ma'lum Hua Ke Woh Sayyadna Musa 'Alayhi Salaam Ke Ummati Nahi The, Warna Is Tarah Na Kehte. 

5. Jamhoor Ka Qaul Jaisa Ke Ba-Hawala Abu Hayyan Rahimahullah Guzar Chuka Hai. 

6. Hafiz Ibn Hazam Ne Kaha: ’’والخضر علیہ السلام نبي قدمات"

 Aur Khzar 'Alayhi Salaam Nabi The, Aur wo Faut Hogaye. 

Al-Muhalla  Jild 1, Page 50, Masla: 90.

Mazeed Tafseel Keliye Dekhiye Hafiz Ibn-Al-Qayeem Ki Kitab: Al-Munar Al-Muneef Fee Al-Sahih Wa-Al-Zaeef.

 Safa 67-76, Fiqrah: 123-134.

Faida: Sayyadna Khizar 'Alayhi Salaam Ke Bare Mein Sahih 'Aqeedah Yeh Hai Ke Woh Nabi Kareem ﷺ Se Pehle Faut Hogaye The Aur Ab Zinda Nahi Hain Lihaza Sahaba Karaam Me Unka Zikr Galat Hai. 

Nez Dekhiye Hifz Al-Rahman Syu Harwi Taqleedi Ki Kitab: Qasas Al-Quran :-Jild 1, Page 433-440.

Janab Abdul Rahman Kilani rh Ne Likha Hai: "..... Woh Kehte Hain Ke Hazrat Khizar 'Alayhi Salaam Na Nabi The Na Wali, Balke Woh Insan Bhi Na The..... Yeh Aqrab Ali Al-Haq Hai." 

Shari'at Wa Tareeqat Page 124, 125.

Tehqeeq Mazkoor Mein Kailani Sahab Ne Sayyadna Khizar 'Alayhi Salaam Ke Nabi Hone Ka Inkar Karke Unhein Farishta karaar Diya Hai, Humare Nazdeek Kilani Sahab Ki" Tehqeeq" Dalaail-E-Sahiha Aur 
Jamhoor Ke Khilaf Hone Ki Wajah Se  Galat Aur aur haq par mabni nahi hai.

Wallahu Alam..........

Is article ko urdu me padhne ke liye is link par click karein

Danish ansari

Post a Comment

0 Comments