mere sahaba sitaro ki manid hai Hadees ka tehkeeki jayeza




Sawal:- assalamualaikum wa Rahmatullah WA barkathu kya ye hadees saheh hai ke mere sahaba sitaro ki manid hain in me se jis ki bhi ittiba karo ? Rehnumai karein jazakallahu khaira.

Al jawab :- alhamdulillah jo hadees apne ne bayan ki hai wo kai sanad se marvi hai lekin tamam ki tamam isnaad se hi sakht zaeef hai  jin ki tehkeek darj zael hai:-

1:- hazrat jabir r.a se riwayat hai nabi ﷺ ne farmaya mere sahaba sitaro ki manid hai.

Al mu'tallif li darqutni:-4/1778,
Jam'e ul bayan imam Ibn Abdul barr:-1760.

Tabsirah:- is ki sanad zaeef wa saqit hai kyunki:- 

1:- is me amash bin Sulaiman mudallis hain jo ke Ann se riwayat kar rahe hain, naez imam amash ka Abu sufyan se sima bhi nahi hai.

2:-is ka Ravi salam bin Sulaiman Al madaini zaeef hai dekhiye taqreeb ut tehzeeb ibn hajar:- 2704.

3:- imam Ibn Abdul Barr rh ne is ke Ravi Haris bin ghusain ko majhool kaha hai.

2:-hadees hazrat umar r.a ...........

Al kamil li ibn adi:-3/1057.
Al madkhal lil baigaqi:-151.
Al kifaya li khateeb baghdadi:-95-96.

Tabsirah:- is ki sanad sakht tareen zaeef hai kyunki:- 

1:- is ki sanad me Abdul Raheem bin zaid al umyi Ravi matrook hai is ki bayan ahadees ko tark kar diya gaya hai is ko imam Yahya bin ma'een rh ne kazzab karar diya hai dekhiye taqreeb ut tehzeeb:-4055.

2:-is ka baap zaid al umyi jamhoor ke nazdeek zaeef hai is ke bare me imam haismi farmate hain:- jamhoor ne ise zaeef karar diya hai.

Majmu al zawaid:-10/110.

Hafiz ibn Hajar kehte hain ye jamhoor ke nazdeek zaeef hai.

Nataij ul ifkar:-253.

3:-Hazrat Abdullah ibn Umar r.a se riwayat hai........

Musnad Abu ibn humaid:- 783.

Tabsirah:- is ki sanad sakht tareen zaeef hai kyunki:-

1:- is ka Ravi Hamza bin abi hamza al juzri, matrook, mutham,bil wazah hai.

Taqreeb ut tehzeeb:-1519.

4:-hazrat Abu huraira rh se riwayat hai........

Musnad al qazaai:-1346.

Tabsirah:- zaeef.

1:-is ki sanad me ja'far bin Abdul Wahid al hashmi Ravi hai jo ki kazzab hai.

Talkhees al Kabeer:- 9/191.

Imam zehbi rh kehte hain ye hadees ja'far bin Abdul Wahid ki musibaton me se hai.

Meezan ul aitdaal:-1/413.

2:- is me amash ki tadlees bhi hai.


5:- hazrat abdullah bin Abbas r.a se riwayat hai...........

Al madkhal lil baihaqi:-152.
 Al kifaya li khateeb safa:-95.

Tabsirah:- is ki sanad sakht tareen zaeef hai kyunki:-

1:- is ke Ravi Sulaiman bin kareema ko jamhoor ne zaeef kaha hai.

2:-is ka Ravi juwair bin saeed al azri sakht tareen zaeef hai.

3:- aur is ke Ravi zihak bin mizaham ne Abdullah bin Abbas r.a se sima nahi kiya hai.

Ittihaf al muhartah li ibn hajar:- 7/248.


6:- jawab bin Ubaidullah se riwayat hai..........

Tabsirah:- is ki sanad sakht tareen zaeef hai kyunki:-

1:- is me wahi jobayr Ravi hai jis ko imam nisai aur imam darqutni ne matrook  karar diya hai.

Al kamil li ibn adi:- 2/121.
Al zo'fa wal matrukeen:- 148.

Is ke bare me Hafiz haismi likhte hain:- ye hadees mashoor hai lekin sanad zaeef hai ye is sanad se bhi sabit nahi, Hafiz Ibn Hajar is sanad ke bare me likhte hain:- "ye mursal hai.

Takhreej ahadees al mukhtasarah:-1/146.

7:- hazrat anas bin Malik r.a se riwayat hai ........

Musnad bin Abu umar (al mataalib li Ibn Hajar):-4156.

Tabsirah:- is ki sanad sakht tareen zaeef hai kyunki:-

1:- is me zaid al umyi Ravi hai jis ka haal pehle bayan ho chuka hai.

2:- is ka Ravi yazee al raqaashi zaeef hai.

Taqreeb ut tehzeeb:-7683

Is ko imam nisai aur imam hakim ne matrook karar diya hai.

Tehzeez ut tehzeeb:-11/270.

Hafiz haismi kehte hain :- ye jamhoor ke nazdeek zaeef hai.

Majmua al zavaid:-1/105.

3:- is me salam bin saleem al taweel, matrook hai.

Taqreeb ut tehzeeb:-2702.

Aur Hafiz Ibn Hajar ne is ki sanad ko zaeef kaha hai.

Al mataalib al aliya li Ibn Hajar:- 4/146.

Is ke tamam turk alhamdulillah jo hame mile ham ne un ki illat bayan kar di hai aur is se yahi sabit hota hai ke ye hadees kisi bhi saheh hadees se sabit nahi. Wallahu alam.

Tanbiya:- kuch hazraat 1 hadees pesh karte hain imam Ayaz rh ki kitab  al shifa se lekin jab ham ne us tehreer ka jayeza liya to us me khayanat payi wahan 2 ahadees ko 1 shumar kar ke  bayan kar diya hai us ki asal ibarat dekhne ke liye link par click karein aur jo hadees upar hai is hadees se wo bhi zaeef hi hai us me sufyan bin auyena mudallis hain aur Ann ss riwayat kar rahe hain aur mudallis ki Ann  wali.riwayat zaeef hi hoti hai.

Ab ham sahaba ke fazail me 1 saheh hadees bhi bayan kar rahe hain

Abu moosa ashri r.a se riwayat hai, (1 din) nabi ﷺ asman ki taraf sar mubarak uthaya aur ap  Bakasrat asmaan ki taraf sar Mubarak uthate the ap ﷺ ne farmaya:- sitare aasman ki hifazat ka saman hain, jab sitare khatam ho jayenge to asmaan par wo (afat) a jayegi Jis ka us se waada kiya gaya hai me apne sahaba ke liue hifazat ka samaan hun jab me (duniya se ) chala jaunga mere sahaba par wo (azmaaishein) ayengi, Jin ka un se waada kiya gaya hai mere sahaba meri ummat ke liye hifazat ka saman hain jab mere sahaba (duniya se ) chale jayenge to meri ummat par wo (azmaaishein) ayengi jin ka un se waada kiya gaya hai.

Saheh muslim:- 2531.

Naez is ki sharah me Hafiz zahbi rh ne imam baihaqi rh ka radd karte hue likha hai ;-
Ye hadees sahaba ko sirf sitaro se tashbeeh dene ko saheh karaar deti hai  raha (kisi 1 sahabi ki )iqtida ka muamla to Abu moosa r.a ki hadees se ye sabit nahi hota.

Talkhees al mustadrak:- jild4 safa 191.


Wallahu Alam 

 Tehkeek:- shaikh Furqan Husayn Sahab   


Danish ansari

Post a Comment

0 Comments