Rozi (business) ke mutallik ahtiyat

Assalamualaikum wa Rahmatullah WA barkathu




Bismillah hirrahman nirraheem


Logo par aisa waqt zaroor aayega ke insan apni Rozi ke mut'allik Halal wa Haram ki parwaah nahi karega.

 Sahih Bukhari:- 2059.

Fawaid:-

Dour-E-Hazir me humare andar hars, tamaa aur laalach ne is qadar jadein mazboot kar rakhi hain ke hum bahmi len den ke mu'amlaat mein afrat wa tafreet ka shikaar hain. Rasool Allah ﷺ ne aise halaat ke mut'alluq hi batour peshan goi mazkoora balaa hadees bayan farmayi hai,
 Chunancheh humare mu'ashre ki aksariyat ne apni rozi ke mut'alluq halaal wa haraam ki tameez chorh di hai. Pas ek hi dhun sawaar hai ke daulat kisi tarah jamaa ki jaye,Rasool Allah ﷺ ne sood ke mut'alluq ek martaba farmaya tha:-

"Logo par woh waqt aane waala hai ke woh bila dareekh sood ka istemaal karenge. Arz kiya gaya: Kya sab log us wabaa me mubtila honge? Aap ﷺ ne farmaya: Jo sood nahi khayega usey sood ki gubar zaroor apni lapet me lelegi.

Musnad Ahmed Jild 2 Safa 494.

 Is Hadees ki Roshni me jab hum Dekhte hain to poori duniya ke logo me Sood kuch is tarah sarahat kar gaya hai jis se har Shakhs Sha'uri taur par mutassir ho raha hai. In halaat me agar koi Musalman poori nek niyati ke saath sood se bachna chahe to use qadam qadam par uljhanein pesh aati hain. Soodi dhandha karne waale har taraf phaile huye hain aur unhone logo ko phasaane ke liye hum rang zameen jaal bicha rakhe hain. In se bachao ki soorat agar namumkin nahi to mushkil zaroor hai halanke Irshad-E-Baari Ta'ala hai:-
"Logo!
Zameen Me Jitni Bhi Halal Aur Pakeezah Cheezein Hain, Unhein Khao Piyo.

Al Baqarah:-168.

Wallahu Alam.




Danish ansari

Post a Comment

0 Comments